Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Maila Aanchal ( मैला आंचल ) Hindi PDF – Phaniswaranath Renu

Maila Aanchal Phaniswaranath Renu ka prtinidhi upnyas hai. Yah Hindi ka shreshth aur sashakt aanchalik upnyas hai. Nepal ki seema se sate uttar-purvi Bihar ke ek pichhade gramin anchal ko prshth bhumi bnakar Renu ne isme vha ke jivan ka chitran kiya kiya jisse vah atyant ghanishth rup se juda hua h. San 1954 me prkashit is upnyas ki kathavastu Bihar rajy ke purniya jile ke Meriganj ki gramin jindagi se sambaddh hai. Yah svatantr hote aur uske turant bad ke Bharat ke rajnitik, aarthik aur samajik paridrshy ka gramin sanskaran hai.

Renu ke anusar isme ful bhi hai, shul bhi hai, dhul bhi hai, gulab bhi hai aur kichad bhi hai. Mai kisi se daman bchakar nikal nhi paya. Isme garibi, rog, bhukhmari, jahalat, dharm ki aad me ho rhe vyabhichar, shoshan, bahyadambaro, andhavishvaso aadi ka chitran hai. Yah lekhk ka pehla upnyas tha aur turant hi unhe Hindi sahity me ek gambhir lekhak ke rup me sthapit kr diya.

Isne Hindi upnyaso me prachalit katha shailiyo ko maulik rup se sthanantarit kr diya aur Hindi upnyaso ki sanrchna ko badal diya. Isne ek bhasha ke rup me Hindi ke adhyayan me yogdan diya hai. Hindi pathykram ke pramukh pathykram ka bhi gathan kiya hai. Phaniswaranath Renu ko bad me Bharat ke chauthe sarvochch nagarik samman padm shri se sammanit kiya gya.

WriterPhaniswar Nath 'Renu'
Book LanguageHindi
Book Size11.32 MB
Total Pages399
CategoryLiterature

Download Free Book  
Buy Hard Copy From Amazon  
Listen this book on Audible

  • About Writer

  Phaniswar Nath Renu ka janm 4 March 1921 ko Bihar ke Arariya jile me forbisganj ke pas Aurahi Hingna ganv me hua tha. Us samay yah Purniya jile me tha. Unki shiksha Bharat aur Nepal me hui. Prarmbhik shiksha forbisganj aur Arariya me puri krne ke bad Renu ne metric Nepal ke Virat nagar aadarsh vidyalay se Koirala parivar me rahkr ki. Inhone inter-mediate Kashi Hindu Vishv vidyaalay se 1942 me ki jiske bad ve svatantrata sangram me kud pde.

Bad me 1950 me unhone Nepali krantikari aandolan me bhi hissa liya jiske prinam me. Nepal me jantantra ki sthapna hui. Patna vishv vidyalay ke chhatro ke sath chhatr sanghrsh smiti me sakriy rup se bhag liya aur Jayprakash Narayan ki sampurn kranti me aham bhumika nibhayi.        

Leave a Comment