Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Poos Ki Raat ( पूस की रात ) Hindi PDF – Munshi Premchand

Poos ki Raat kahani aaj ke kisano ki dayniya shiti ko pradarshit krti hai. Kathin pristhitiyo aur chijo ke abhav me plne wala kisan kdi mehnat ke bad bhi kisan apne khane ke khane ke liye roti nhi juta pata. Majburan kisan shoshangrst jeevan jine ke liye vivash ho jata hai. Upr se prakriti ki mar use bahut hi nirash kr deti hai. Kap-kpati hui thnd use itna vivsh kr deti jisse vah na to apne fslo ko junglee janwro se bcha skta hai to vah apne kutte ko gle lgane ke liye vivash ho jata hai.

  • Kahani

‘ Poos ki Raat ‘ is kahani ka aarambh Halku namak kisan se hota hai. Kahani ke aarambh me Halku, Sahna ( Baniya ) ko pese dene ke bat kehta hai. Kintu uski ptni Munni kehti hai ki agr use tino rupaye de diye to kumble kaha se aayega aur is kadak sardi ki raat me khet ki rakhwali kese hogi. Vah fasal ke aane pr use pese lautane ka salah deti hai. Is bat ko sunkar Halku soch me pd gya ki agr usne pese nhi lautaye to Sahna ( Baniya ) use galiya dega, use khri-khoti sunayega lekin yha sard raat ko bitane ki bhi thi.

Halku ne soch ki itni srdi me bchav kese hoga, fir socha ki srd me mrenge to mrenge lekin abhi to musibt dur ho jayegi. To usne apne ptni Munni se kaha ki la pese de de. Km se km gla to chhute. Kumble ke liye koi dusra trika nikal lenge.

Munni gusse bhri aakhe lekr kehti hai kya upay hoga? Koi muft me pese dene se rha. Vah apni mn ki bhdas nikalte hue boli ki na jane kb ye udhar chukta hogi. Byaj pr byaj baniya vasul krta jata hai. Munni apne pti pr baraste hue kehti hai ki Kheti chhodkr majduri kyo ni krte km se km do vkt ka pet to bhre.

Aisi kheti se baaj aaye aur vah Halku ko pese dene se mna kr deti hai. Is pr Halku udas mn se bolta hai ki gali khane se achha pese dena thik hai. Tb Halku ki ptni taak pr se pese lakr deti hai. Halku un peso ko Sahna ko de aata hai, Jo unhone Kumble lene ke liye jma kiye hote hai. Kintu esa ho na ska.

  • Poos ki Raat ( पूस की रात )

Sham hote hi ( Halku ) apne khet ki rakhwali ke liye nikl pdta hai. Uske sath-sath uska kutta Jabra bhi uske sath chla jata hai. Halku khet me ek purane gadhe ki chaddar odhkr ek kinare beth jata hai aur kapta rhta hai. Uske khat ke niche uska kutta ku-ku kr rha tha. To vah apne kutte Jabra se hi bate krne lgta hai. Aur se sunata hai ki agr ghr me hi rhta to use srdi nhi lgti ab yha apni nani ko yad kr ke ro.

Jabre ne pde pde apni dum hilayi. Halku apna hath nikalkar Jabre ki pith pr ferne lga. Aur bola kl sath mt aana nhi to is kadak thnd me thande ho jaoge. Thand bhgane ke liye vah uthkr chilam pita hai. Aur sochta hai kisi tarah rat kte esa sochte socte vah aath chilam pi jata hai pr srdi km hone ka nam nhi le rhi thi.

Vah dhanwan logo ke bare me sochta hai jo mote mote gaddon aur kumble me lipte rhte hai, unke pas srdi Bhtkne ka nam nhi leti. Jamindar mje krte hai aur sari kheti majduro ko krni pdti hai. Us vakt use Jabre ka hi shara tha. Vah kutta bhi swami ke prti vfadari dikhate hue apne dono pnje uske ghutno pr rkh deta hai. Uski grm sans Halku ko chhune lgti hai. Halku kisi tarah sone ki koshish krta hai.

  • Jabre ki mitrta

Lekin srdi ki adhikta se ghutne chhati me samet lene pr bhi kp kpi bnd nhi hoti hai. Jb kisi tarah rha nhi gya to jbre ko dhire se uthaya aur apni chhati se lga liya. God me lene pr kutte ki badboo aane lgi, Kintu use chhodne ka ji nhi kr rha tha. Jabra bhi samjh rha tha ki svarg yhi hai aur Halku ki pavitr aatma me to kutte ke prati ghrna ki gandh tk nhi thi.

Vah shayd apni aisi tatprta se abhinn mitr aur bhai ko gle nhi lgata. Is kutte ki aatmiyta maitri ne mano uski aatma ke sb dvar khol diye the aur uska ek ek kan chamkne lga. Ese hi ek ghanta gujr jata hai. Tbhi Jabra ko kisi janvar ke aane ki aahat hui. Vah daudta, bhaukta aur fir kheto ki or laut jaata. Mano kartavy uske hriday me arman ki bhanti uchhal rha tha.

Jese jese rat bdhti gyi sardi ki bhyankta bhi badh rhi thi. Halku uth baitha, aakash ko niharne lga aur sochne lga ki abhi rat baki hai. Aakhir uthkr aam ke bgiche se sukhi pattiya ikatthee krta hai, alaav jgata hain. Kutta bhi doom hilata hua pas aa baitha. Usi samay hva ke jhoke ke sath mehndi ki gndh ne tro taja kr diya. Jabra vhi beth kr kisi haddi ko chbane lga.

  • Halku ki Ati-Vishvasniyta

Thodi der tpne ke bad Halku ne tang chaudi kr manon sardi ko lalkara ki ab kr le, jo krna hai. Thand ki asem shakti pr vijay pakr vah garv se ful utha. Pr kitni der tk, ve pttiyan jlakr grmahat deti. Thodi der tk vah Jabre ke sath khelne lga. Alaav ke upr koodfand krne ke liye Jabre ko lalkarne lga. Pr aakhir yah khushi thodi si der me hva ho gyi. Ab vha rakh ki dheri lgi thi.

Hva ka jhoka aane pr tanik aag jhlk jati, phir thand pdne lgi, Halku ne chadr odh li aur garm rakh ke pas baitha geet gun-gunane lga. Pr thithuran bdhti gyi. Jabra fir bhaukne lga. Shayd kheto me janvar ghus aaye the. Neel gayo ka jhund tha. Unke kudne fandne aur anaj chbane ki aawaj aane lgi. Pr Halku ne dhyan nhi diya. Aur apne mn ko smjhane lga ki Jabre ke rhte janvar nhi aa skte.

Awaje to uske mn ka bhrm hai, Jabra jor jor se bhaukne lga, pr Halku apni jagah se nhi hila. Sardi ne use jakad liya tha, hilna bhi jahar ke sman lga. Janvar khet char rhe the, Halku mn hi mn galiyan deta rha, pr uthkr janvro ko bhgane ki uski himmat nhi hui.

  • Halku ki aalasta

Aakhir irada pkka krke utha, pr do char kdm chalte hi hva ka jhonka bichchhu ke dank ki tarah chubhne lga. Vah fir bujhte alaav ke pas aa baitha. rakh kured kr apni thndi deh ko grmane lga. Jabra bhaukta rha, Neel gaye khet saf krti rhi pr Halku shant baitha rha. Kuchh na krne ki rassi ne use jakad liya. Sara khet chaupat ho gya. Subah uski ptni pahuchi to dekha Halku bekhbr soya pda hai.

Usne Halku se aakar kaha sare khet ka satyanash ho gya. Aise bhi koi sota hai. Pr Halku ne bahana bnaya pet me drd tha, tumhe kheton ki pdi hain. Yaha mrte-mrte bcha.Dono khet ki  dand pr pahunche aur dekha sara khet raunda pda hai. Khdi paki fasal nasht ho gyi. Jabra chitt leta tha mano usme pran shesh nhi hai. Munni udas ho gyi, magar Halku is brbadi pr bhi khush tha ki ab rat me srdi se mrna nhin pdega, khet ki rkhvali nhi krni pdegi. Vah Ptni ko dilasa deta hai ki ab vah majduri krega.

WriterMunshi Premchand
Book LanguageHindi
Book Size854 KB
Total Pages7
CategoryStories

Download Free Hard Copy
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy From Amazon  
Listen this book On Audible

Munshi Premchand ki any Pustke :

Leave a Comment