Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Gunaho ka Devta ( गुनाहों का देवता ) Hindi PDF – Dr. Dharmaveer Bharti

Gunaho ka Devta Upnayaskar Dharmveer ke suruaati daur me pdhe jane wali srwadhik lokpriy upnyas thi. Ise 1959 me prakashit kiya gya tha. Isme Prem ka esa aalokik chitran h jise dekhkr man mugdh ho jata hai. Is upnyas ke aaj 1 lakh se jyada sanskaran bik chuke hai. Isme chitrit patro ke chritr aur chitran ke hisab se ise sarvashresth upnyaso me gina jata hai.

  • Gunaho ka Devta ki kahani

‘ Gunaho ka Devta ‘ is kahani ka mukhya sthan angrejo ke samay ka Alahabad ka hai. Is kahani me mukhyat 3 patr hai – Sudha, Chandar aur Pummy. Puri kahani mukhyat inhi 3 patro ke irdgird ghumti rhti hai. Chandar Sudha ke pita yani vishvavidyalay ke Professor ke priy chhatro me se ek hai aur Professor bhi use apne bete jesa mante hai. Isi karn Chandar ka Sudha ke yha bina kisi rok tok ke aana-jana lga rhta hai. Dhire-Dhire Sudha aur Chandar ko kb pyar ho jata hai, yah dono ko hi pta nhi chlta. Lekin yh koi samany prem nhi tha. Yah bhakti pr aadharit prem tha. Sudha Chandar ko apne Bhagwan ke sman manti thi aur ek bhkt ki trh samman deti thi.

Chandar Sudha se pyar to krta hai, Lekin Sudha ke papa ke dwara kiye gye ehsan aur unke dwara bune gye Chandar ka vyaktitv us pr itna havi hota hai ki Chandar apne pyar ka ijahar Sudha se nhi kr pata. Chandar Sudha ki njro me Bhagwan bankar rhna chahta hai aur hota bhi esa ho hai. Sudha aur Chandar ka rista ek bhagwan aur Bhakt ke jesa hota hai. Pyar ko lekar Chandar ka dwandwa is Upnyas ke jyadatar hisso me bna rhta hai. Akhiri me ntija yah hota hai ki Sudha ki shadi kahi aur ho jati hai aur Chandar ko duniya chhodkr jana pdta hai.

Pummy ke sath Chandar ke aapsi palo ki kahani ko lekhak ne bdi savdhani ke sth likha hai. Pure upnyas me thoda Sexual touch to hai. Lekin vulgarity kahi bhi nhi hai. Usme sihran to hai lekin yah pathko uttejit nhi krta. Lekhak is upnyas ke itne najdik hai yah khud niche likhit kathno se andaja lgaya ja skta hai –

  •  Famous Lines

  1. Chhah baras se Sat baras tk ki kaun-si aisi stree hai, jo apne rup ki prashansa par behosh na ho jaye.
  2. Avishwas insan ki pvriti ko jitna bigadta hai, Vishwas utna hi bnata hai
  3. Aise avsaro pr jb bhi manushya ko gambhirtm uttardayitva sopa jata hai, tb us manushya ke chritra me vichitr-sa nikhar aata hai.
  4. Jb bhavna aur Saundary ke upask ko buddhi aur vastavikta ki thes lgti hai, tb vah sahsa katuta aur vyangy se ubal uthta hai.
  5. Manushya ka ek swabhav hota hai. Jb vah dusro pr dya krta hai to vah chahta hai ki samne wala vyakti use vinmra hokr svikar kre. Agr samne wala vyakti dan lene me kahi bhi swabhiman dikhata hai to manushya apni danvriti bhav ko chhodkr abhiman se uske swabhiman ko kuchlne me vyast ho jata hai.
WriterDharmaveer Bharti
Book LanguageHindi
Book Size10.24 MB
Total Pages389
CategoryLiterature

Download Free Hard Copy 
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy From Amazon  
Listen this book on Audible 

  • About Writer

Dharmaveer Bharti ( 25 December, 1926 – 4 September, 1997 ) aadhunik hindi sahitya ke pramukh lekhak, kavi, natakkar aur samaj vicharak the. Ve ek samay ke prakhyat saptahik ( weekly ) patrika Dharmyug ke pradhak sampadak bhi the. Unka upnyas Gunaho ka Devta sdabhar rchna mani jati hai. Suraj ka satva ghoda kehne ko kahani ka anupam prayog mana jata hai. Andha Yug unki pramukh kritiyo me se ek hai. Apne inhi lekho ke karn unhe 1962 me Padamshree se sammanit kiya gya. 

Leave a Comment