Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Gaban ( गबन ) Hindi PDF – Munshi Premchand

Gaban Premchand dvara rachit upnyas hai, Jiski rchna Premchand ji ne 1928 me ki.  ‘Nirmala’ ke bad ‘Gaban’ Premchand ka dusra yatharthvadi upnyas hai. kehna chahiye ki yah uske vikas ki agli kdi hai. Gaban ka mul vishay hai – ‘ Mahilao ka pati ke jeevan pr prabhav .’Is upnyas me Premchand ne pehli Nari samasya ko vyapk Bhartiya pariprekshy me rkhkr dekha hai aur use tatkalin Bharatiya svadhinta aandoln se jodkr dekha hai. Samajik jeevan aur katha-sahity ke liye yah ek nye disha ki or sanket krta hai. Yah upnyas jeevan ki asaliyat ki chhanbin adhik geharayi se krta hai, bhram ko todta hai. Nye raste tlashne ke liye pathk ko nye prerna deta hai. 

  • Kathanak

‘Gaban’ ki nayika, Jalpa, ek chandrahar pane ke liye lalayit hai. Uska pati km vetan vala ‘ Clerk ‘ hai. Ydypi vah apni ptni ke samne bahut ameer hone ka natak krta hai. Apni ptni ko santusht krne ke liye vah apne daphtar se Gaban ( Chori ) krta hai aur bhagkr Culcutta chla jata hai jahan ek kunjda aur uski patni use sharan dete hain. Daketi ke ek jali mamle me police use fsakr mukhbir ki bhumika me prastut krti hai. Uski ptni paritap se bhri Culcutta aati hai aur use jail se nikalne me sahayk hoti hai. Isi bich police ki tanashahi ke viruddh ek bdi jan-jagrti shuru hoti hai.

Is upnyas me virat jan-aandolno ke sprsh ka anubhv pathk ko hota hai. Laghu ghtnao se aarmbh hokr rashtriya jeevan me bde-bde tufan uth khde hote hai. Ek kshudr vrtti ki lobhi stree se rashtr-nayika me Jalpa ki printi Premchand ki kalam ki klatmkta ki prakashtha hai. Isme do kathanak hai – ek pryag se sambaddh aur dusra Culcutta se sambaddh. Dono kathanak Jalapaki mdhysthata dvara jod diye gye hai. Kathank me anavashyak ghatnao aur vistar ka abhav hai.

Pryag ke chhote se ganv ke jamindar ke mukhtar mahashay dindayal aur manki ki iklauti putri Jalpa ko bachpan se hi aabhushno, visheshat: chandrhar ki lalsa lg gyi thi. Vah swapn dekhti thi ki vivah ke samay uske liye chandrhar jrur chadhega. Jb uska vivah kachahari me naukr Munshi Dyanath ke bekar putr Ramanath se hua to chadhave me aur gehne to the, chandrahar na tha. isse Jalpa ko ghor nirasha hui.

 

Is pustak ka kul size 90.34 MB hai aur kul pristho ki sankhya 309 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi. 

WriterMunshi Premchand
Book LanguageHindi
Book Size90.34 MB
Total Pages309
CategoryLiterature

Download Free Hard Copy 
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon   
Listen this book on audible 

 

Munshi Premchand ki any Pustke :

Leave a Comment