Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Download Shree Ramcharitmanas ( श्री रामचरितमानस ) Hindi PDF

Ramcharitmanas Goswami Tulsidas ji Mahaaj ke dwara 16vi sdi me likhi gyi itihas ki ek ghtna hai. Is granth ko Hindi Sahitya ki mhan rachnao me se ek mana jata hai. Ramcharitmanas ki ek alg hi lokpriyta hai. Ise samanyta ‘ Tulsi Ramayan ‘ ya fir ‘ Tulsi krit Ramayan ‘ bhi kaha jata hai. Ramcharitmanas Bhartiya Sanskriti me ek mahtvpurn sthan rkhta hai. Sharad Navratro me pure 9 din iska path kiya jata hai aur Uttar Bharat me to ise pritidin bahut se logo dwara pdha jata hai. Ramayan mandalo ke dwara ise prtyek Somvar aur Shanivar ko pdha jata hai.

Ramacharitmanas ke mukhya nayak Shree Ram Chandra ji hai jinhe ek mryada purush ke rup me dikhaya gya hai jo ki sampurn brhmhand ke swami Shree Narayan ke avtar hai jbki Mahrshi Valmiki ke dwara rachit Ramayan me Bhagwan Shree Ram ji ko ek aadarsh purush ke rup me dikhaya gya hai jo ki sampurn sansar ko yah sikhate hai ki jeevan ko kis trike se jiya jaye chahe usme kitni bhi kathinayi hi kyu na ho ? Tulsi Das ke Ram sarvshaktiman hote hue bhi mryada purshottam the. Tulsi Das ji ne Shree Ram ji ke jeevan shaili ka varnan alg hi rup me Chhndo, Chaupaiyo me kiya.

  • Ramcharitmanas ka Parichay

Ramcharitmanas 15vi shtabdi ke kvi Goswami Tulsi Das ke dwara likha gya ek mahakavya hai jisme Shree Ram Chandra ji ka sampurn jeevan ko charcit kiya gya hai. Goswami Tulsidas ji ne Ramcharitmanas me Shree Ram Chandra ji ke suddh aur nirmal charitra ko vrnit kiya hai. Maharshi Valmiki ke dwara likhe gye Sanskrit ko Ramcharitmanas ka aadhar mana jata hai. Dono hi Ramayan me Shree Ram Chandra ji ke jeevan ko vrnit kiya gya hai.

Lekin dono hi mahakavyo ki rchna krne kviyo ke varnan shaili ke ullekh me kafi antr hai. Goswami Tulsi Das ke dwara likhi gyi Ramcharitmanas ke anusar Shree Ram ji Bhagwan Vishnu ke avtar the vhi Valmiki ji ke dwara likhe gye Ramayan me Shree Ram ji ko sansarik aur srvshaktishali purush ke rup me vyakt kiya gya hai.

  • Ramcharitmanas ke bhag

Ramcharimanas ko Goswami Tusi Das ji ne sat Kando me vibhajit kiya hai. In sato kando ke nam hai –

  1.  BaalKand
  2.  AyodhyaKand
  3.  ArnayKand
  4.  KiskindhaKand
  5.  SunderKand
  6.  LankaKand ( YuddhKand )
  7.  UttarKand.

BaalKand aur KishkindhaKand, Chhndo ke anusar sbse bde aur sbse chhote chhand hai. Ramcharitmans me Goswami Tulsi Das avdhi ke alankaro ka pryog kiya hai aur sbse jyada anupras alankar ka upyog kiya hai. Ramcharitmanas ko Hinduo ka pvitra granth mana jata hai. Goswami Tulsi Das ji ne bde sunder dhng se Shree ram ji ki leelayo ka vrnan kiya hai. Unhone kafi sunder-sunder Chhndo ka upyog kr apne dwara likhi gyi Ramcharitmanas ko mntramugdh kr diya hai. Unhone is trh se Ramchritmanas ko pesh kiya hai jese ek  rasoiya apne sbse mithe pkwan ko prosta hai. Tulsi Das ji ke dwara likhi gyi ek-ek pnkti pdhen me  esa mehsus  hota hai jese mishri ghuli ho.

  • Ramcharitmanas ki Bhasa-shaili

Shree Ramcharitmanas ki bhasa kko lekr kisi vidwaan ke mt nhi milte Kyi vykti ise  Avdhi  Bhasa ka mante hai to kyi ise Bhojpui bhasa btate hai. Kuchh log ise Avdhi aur Bhojpuri ki mili-juli bhasa mante hai. Manne walo me ise Bundeli bhasa manne valo ki sankhya ki kmi nhi hai. Goswami ji ne bhasa ko ek nya avtar  diya. 15vi shtabdi me Hindi-Sahitya ki Sahityik bhasa ‘ brajbhasa ‘  thi jise bhakha kha gya aur aaj ise ‘ khdiboli ‘ kaha jata hai.

WriterGoswami Tulsidas
Book LanguageHindi
Book Size43.83 MB
Total Pages1022
CategoryReligiuos - Hinduism

Download Free E-Book
Buy Book from Amazon 
Listen book on Audible 

 

  • About Writer

      Goswami Tulsidas ji Hindi-Sahitya ke mhan kviyo me se ek the. Ihne aadi-kavy Ramayan ke rchiyta Mahrshi Valmiki ka avtar bhi mana jata hai. Inhone Ramayan ko aadhar mankr Ramchritmanas ki rchna ki jiske bad se hi ye kafi prasiddh ho gye. Inke dwara rchit Ramcharitmanas ko aaj bhi uttr bharat me prtyek din pdha jata hai. Halaki Tulsidas ji ke janm ko lekr kafi mt hai lekin inka jnm Uttar Pradesh ke Chitrkut jile k antrgat aane wale Rajapura gav me hua.

Inke pita ji ka nam Pt. Aatmaram shukl aur mata ji ka nam Hulsi tha. Pauranik kathao ke anusar jb Tulsidas ji ka jnm hua tha tb unke muh se pehla shbd Ram nikla aur tb se ve Ram ki bhakti me lg gye. Tulsidas ji ne apne jeevan me bahut si grntho ki rchnaye ki hai, jinme Krishnagitavali (1571 me rchit) aur Dohavli (1583 me rchit) bahut prasiddh hai. Goswami Tulsidas ji Maharaj krit Ramcharitmanas ko visv ke 100 lokpriy kavyo me 46 va sthan prapt hai.

Leave a Comment