Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Shreemad Bhagwat Geeta ( श्रीमद्भगवद् गीता ) Hindi PDF – Pt. Swami Govind Singh

Shreemad Bhagavad ‌Geeta Hinduon ka sabse pavitra grantho me se ek hai. Pauranik kathao k anusar Mahabharat ke Yuddh Kurukshetra me Shri Krishna ji ne Arjun ko Geeta ka updesh diya tha. Yah Kauravo aur Pandvo k bich k yuddh Mahabharat ke Bheesmaparv ka hissa hai. Bhagwat Geeta me 700 shlok aur 18 adhyay hai. Esa mana jata hai hmare pavitra ‘Upnishad’ gau hai aur Geeta me unka dudh hai. Iska arth yah hai ki Upnishado me jo adhyatm vidya hai uska purn saransh upsthit hai.

Upnishad ki bahut sari vidyaye Geeta me nihit hai. Jese, sansar ke svaroop ke sambandh me Ashvatth vidya, Anadi Ajanma brahm ke vishay me Avyayapurush vidya, Pra Prkrti ya jeev ke vishay me Akshrapurush vidya aur apra Prkrti ya Bhautik jgt ke vishay me kshrapurush vidya. Bhagavat Geeta me Ekeshvravad, Karm yog, Gyanyog, Bhakti yog ki bahut sundar dhng se chrcha hui hai.

  • Geeta ke Shloko ka Jeevan me shi arth

Shreemad Bhagwat Geeta Mahabharat ke yuddh ka ek dhrishya hai jisme Shri Krishna Arjun ko updesh dete hai. Sahi artho me Geeta me Manushyo ki sari samsyao ka smadhan hai. Jis trh mnushya apne jivan k samsyao ka samna na kr unse bhagne ka mn bna leta hai, thik usi trh se Arjun bhi Yudhhbhumi me Kauravo ki bhyanak sena dekh kr bhaybhit ho jata hai aur apne kshtriya dhrm se nirash ho jata hai. Arjun ki trh hi hm bhi kbhi – kbhi viprit pristhitiyo me kafi dr jate h aur unka samna krne ki bjaye bhag khde hote hai.

Shree Bhadwat Geeta ke 18 adhayay aur 700 shloko me Karm, Dharm, Karmfal, Jivan, Mrityu, Jhut, Sch jese jeevan se jude sbhi prsno k uttr maujud hai. Jb Mahabharat ke Yuddh me Arjun Yuddh krne se mna krte hai. Tb Shri Krishna unhe Geeta k shlok sunate hai aur unhe Karm aur Dhrm ke sachchai se avgt krate hai. Shri Krishna ke unhi updesh ko Shree Bhagwat Geeta me liya gya hai.

  • Bhagwat Geeta ka Sar

Sampurn Bhagwat Geeta sastra ka purn nichod hai. Iske anusar buddhi ko hmesha chhota man kr mahabuddhi mtlv aatma me ise lgaye rkhe aur sansar ke krm apne aadto ke anusar aasan rup se krte rhe. Apne aadto k anusar karm krna aasan hai. Lekin kisi dusre ke aadto ko apnakr krm krna aur aage bdhna utna ki muskil kam hai. Kyoki pratyek jeev ek alg hi prakriti k sth jnma hai, jiv jis prakriti ko lekr jnma hai us prakriti ke anusar uska jeevan jina asan hai.

Shree Krishna Bhagwan ne sampurn Geeta sastra  me bar-bar aatmrat hone k liye kaha hai. Swabhavik krm krte hue moh-rahit hona asaan hai aur ise hi nirdharit marg btaya gya hai. Agr sachche artho me dekha jaye to Gyaan Yog, Buddhi Yog, Krm Yog, Bhakti Yog aadi ka Geeta me Updesh hai lekin agr gehrai se vichar kiya jaye to sbhi Shree Vishnu ko arpn krte hue kiye ja skte hai.

Shreemad Bhagavat geeta aaj bhi  dhrm se jyada jeevan ke prti apne Darshanik drshtikon ko lekr Bharat me hi nhi videsho me bhi logo ka dhyan apni aur akrshit kr rhi hai. Nishkam krm ka Geeta ka sandesh prabndhn guruo ko bhi lubha raha hai. Vishv ke sbhi dhrmo ki sbse prasiddh pustako me shamil hai. Manav jeevan ki visheshta manv ko prapt bauddhik shkti hai aur upnishdo me nihit gyan manav ki bauddhikata ki uchchatam avastha to hai hi, apitu buddhi ki simaon ke pre manushy kya anubhv kr skta hai uski ek jhlk bhi dikha deta hai.

WriterPt. Swami Govind Singh
Book LanguageHindi
Book Size28 MB
Total Pages867
CategoryReligiuos - Hinduism

Download Free Hard Copy 
Buy Hard Copy from Amazon 
Listen this book on Audible 

 

 

2 thoughts on “Shreemad Bhagwat Geeta ( श्रीमद्भगवद् गीता ) Hindi PDF – Pt. Swami Govind Singh”

Leave a Comment