Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Ramayan Katha ( रामायण कथा ) Hindi PDF – Raghunath Singh

Valmeeki Ramayan aadi maulik kavy hai. Ramayan ki kathao ka mool srot hai. Usi ke aadhar pr vividh bhashao tatha desho me Ramayan ki rachnaye ki gyi hai. Ram ki gatha ko bharatiy jeevan se alag krna aatma aur kaya ko ek-dusre se bhinn krna hoga. Kashi me janm-bhumi hone ke karan Ramayan aur usaki gatha ke prati abhiruchi hona mere liye svabhavik hai. Kashi ke bhinn-bhinn sthano me Ramleela ek mas tk hoti hai. Ramleela ke vatavaran se aashvin mas bhar uthta hai. Mai balykal me kisi-na-kisi patr ka rup bnta tha, kbhi vanar bnta tha, to kbhi rakshas. Bde hone pr Ramleela ke aayojan me bhag lene lga.

Ramayan keval kavy nhi hai. Valmikiy, Tulasidas krt athva kisi bhi bhasha me vah pratyek Bharatiy grhasth ki pujy samagri hai. Uttar Bharat me ghar ki mahilaye Tulasikrt Ramayan padhti hai. Unke liye vah bodhgamy hai . Ve apne aangan ke chira pr Tulasi ki puja krti hai, diye jlati hai. Narayan ke charano me aatm-samrpan krti hai. Bhagwan bhaskar ko pranam krti hai. Striya Tulasichaura, athva bhagwan athava Hanuman ji ki murti, chitradi ke sammukh baith kr Ramayan pdhti hai. Naivedy sammukh rkha rhta hai. Shishu tatha balak-balikaye chupchap prasad pane ki aasha me komal nari-hrday ki pavitr vani sunti rhti hai.

Is pustak ka kul size 12 MB hai aur kul pristho ki sankhya 342 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
WriterRaghunath Singh
Book LanguageHindi
Book Size12 MB
Total Pages342
CategoryReligious - Hinduism

Leave a Comment