Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Kamayani ( कामायनी ) Hindi PDF – Jayshankar Prasad

Kamayani Hindi bhasa ka ek maha kavy hai. Jiske rchyita Jayshankar Prasad hai. Yah aadhunik Chhayavadi yug ka srvottam aur prtinidhi Hindi mahakavy hai. ‘Kamayani’ Jayshankar ji ki yah antim kavy rchna 1936  me prkashit hui, Parntu iska prnayan pray: 7-8 varsh purv hi prarmbh ho gya tha. ‘Chinta’ se prarmbh kar anand tk 15 srgo ke is mahakavy me manav man ki vividh antr vrttiyon ka krmik unmiln is kaushl se kiya gya hai ki manav srshti ke aadi se ab tk ke jeevan ke manovaigyanik aur sanskrtik vikas ka itihas bhi spasht ho jata hai.

Kla ki drishti se Kamayani chhayavadi kavy kla ka sarvottam pratik mana ja skta hai. Chittvritiyo ka kthank ke patr ke rup me avtrn is kavy ki anytm visheshta hai. Aur is drishti se lajja, saundarya, shraddha aur ida ka manav rup me avtrn Hindi Sahity ki anupam nidhi hai. Kamayani prty bhigya darshan pr adharit hai. Sath hi is pr arvind darshan aur Gandhi drshn ka bhi prbhav yatr tatr mil jata hai.

  • Kathanak

Jayshankar Prasad ji ne is kavy ke pradhan patr Manu aur Kamputri Kamayani shradhha ko aitihasik vykti ke rup me mana hai, sath hi jalplavan ki ghtna ko bhi ek aitihasik tathy swikar kiya hai. Shatpath brahmand ke prthm kand ke athven adhyay se jalplavan smbandhi ullekho ka snkln kr Prasad ne is kavy ka kathanak nirmit kiya hai, sath hi upnishd aur purano me Manu aur Shraddha ka jo rupk diya gya hai, unhone use bhi aswikar nhi kiya, vrn‌ kathanak ko aisa swarup prdan kiya jisme Manu, Shraddha aur Ida ke rupk ki bhi sngti bhli bhanti baith jaye. Prntu sukshm srshti se dekhne pr jan pdta hai ki in charitro ke rupk ka nirvah hi adhik sundr aur susnyt rup me hua, aitihasik vykti ke rup me ve purnt: ekangi aur vyaktitvahin ho gye hai.

Is pustak ka kul size 16 MB hai aur kul pristho ki sankhya 308 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi. 

WriterJayshankar Prasad
Book LanguageHindi
Book Size16 MB
Total Pages308
CategoryLiterature , Religiuos

Download Free Hard Copy 
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon  
Listen this book on audible 

  • About Writer

  Jayshankar Prasad (30 January 1889 – 15 November 1937), Hindi kavi, natkkar, upanyaskar aur nibandhkar the. Ve Hindi ke chhayavadi yug ke char pramukh stambho me se ek hai. Unhone Hindi kavy me ek tarah se chhayavad ki sthapna ki jiske dvara khdi boli ke kavy me na kevl kamaneey maadhury kee rasasiddh dhaara pravaahit huee, balki jeevan ke sookshm evan vyaapak aayaamon ke chitran kee shakti bhee sanchit huee aur Kamayani tk pahunchkr vah kavy prerk shaktikavy ke rup me bhi pratishthit ho gya. Bad ke pragtishil aur nye kavita dono dharao ke pramukh aalochko ne uski is shktimatta ko swikrti di. Iska ek atirikt prabhav yah bhi hua ki khdi boli Hindi kavy ki nirvivad siddh bhasha bn gyi.

 

Leave a Comment