Do bailo ki Katha Premchand dvara likhi gyi ek laghu katha-rchna hai. Premchand apni rchnao ke madhyam se sandesh dene me mahir the. Smaj ko apni rchnao ke madhyam se kaise jgaya jaye, yah unhe bahut achhi tarah ata tha. Yah kahani sanketik bhasha me yah sandesh deti hai ki mnushy ho ya koi bhi prani ho, svatantrta uske liye bahut mahtv rakhti hai. Svatantrta ko pane ke liye ladna bhi pde, to bina hichkichaye ldna chahiye.
Janm ke sath hi svtntrta sbka adhikar hai, use bnaye rakhna sbka prm krtvy hai. Do Bailo ki katha me bailo ke madhyam se lekhak apne vichar samaj ke samksh rkhta hai. Is kahani me do mitr bail apni svatntrta ko bnaye rkhne ke liye sangharsh krte hai. Yah kahani do bailo ke bich me ghanisht bhavatmk sambandh ko drshati hai. Yah kahani manushy aur janvar ke bich me utpnn parspr sambandh ka sundr chitr bhi prastut krti hai.
Is Kahani se mili Siksha
Do bailo ki katha ek shikshaprd kahani hai. Isme mukhy nayak Heera aur Moti nam ke do bail hai. Is kahani ke lekhak Munshi Premchand hai. Ye dono bail sidhe sade logon ka pratik hai . Dono ko bahut sari aapdao ka samna krna pdta hai. Pr fir bhi dono ek dusre ka sath nhi chhodte. Dono apni aajadi ke lie sangharsh krte hai. Kyi sare naitik mulyo ka bhi dhyan rkhte hai. Aur ant me dono apne ghar laut aate hai. Isse hme shiksha milti hai ki kbhi bhi har nhi manni chahiye. Hmesha sangharsh krte chahiye.
Writer | Munshi Premchand |
Book Language | Hindi |
Book Size | 5 MB |
Total Pages | 22 |
Category | Stories |
Download Free Hard Copy
Buy Hard Copy from Amazon
Read this book Online
Listen this book on audible
Also Read – Poos ki Raat