Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Chut Aur Achut ( छूत और अछूत ) – Shripad Damodar Satwalekar

Chut Aur Achut – Ise samany bhasha me chhua-chhut ki samasya bhi kehte hai. Asprshyata ka arth hai kisi vyakti ya samuh ke sbhi logo ke sharir ko sidhe chhune se bchana ya rokna. Ye manyta hai ki Asprshy ya achut logo se chhune, yha tk ki unki parachhayi bhi pdne se uchch jati ke log ashuddh ho jate hai aur apni shuddhata vapas pane ke liye unhe pavitr Ganga-Jal me snan krna pdta hai. Bharatiya sanskrti ka mulamantr manav-jati se pyar unch-nich ki bhavna rupi hva ke jhonke se yatr-tatr bikhar gya. unch-nich ka bhav yah rog hai, jo samaj me dhire dhire pnpta hai aur susabhy evan susanskrt samaj ki ninv ko hila deta hai.

Parinamsvarup manav-samaj ke samul nasht hone ki aashanka rhti hai. Atah Asprshyata manav-samaj ke lie ek bhishan kalank hai. Asprshyata kee utpatti aur uski aitihaasikata pr ab bhi bahas hoti hai. Bheem Rao Ambedakar ka manna tha ki asprshyata km se km 400 ee. se hai. Aaj sansar ke pratyek kshetr me chahe vah Rajanitik ho athva aarthik, dharmik ho ya samajik, sarvatr asprshyata ke darshan kiye ja skte hai. America, England, Japan aadi yadyapi vaigyanik drshtikon se vikasit aur sampann desh hai kintu asprshyata ke rog me ve bhi grasit hai.

Is pustak ka kul size 3.74 MB hai aur kul pristho ki sankhya 146 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

Book WriterUnknown
Book LanguageHindi
Book Size3.74 MB
Total Pages146
CategoryUnknown

Download Part-01

Download Part-02

Donate Us

Buy this Book From Amazon

Listen this Book on Audible

Leave a Comment