Charitraheen Hindi Book – Charitraheen Bangla ke mahan upanyaskar Sharat Chandr Chattopadhyay dvara rachit ek janpriy Bangla upnyas hai. Yah upnyas 1917 e me prkashit hua tha. Isme mess jeevan ke varnan ke sath mess ki naukrani (Savitri) se prem ki kahani hai. Nari ka shoshan, samarpan aur bhav-jagat tatha purush samaj me uska charitrik mulyankan – isse ubharne vala antarvirodh hi is upnyas ka kendr bindu hai. ‘Charitraheen’ ko jb unhonne likha tha tb unhe kafi virodh ka samna krna pda tha kyonki usme us samay ki manyatao aur parmprao ko chunauti di gyi thi. Bharatvarsh ke sampadak kavivar Dvijendra Lal Rai ne ise yah kahkar chhapne se mana kr diya kiya ki yah sadachar ke viruddh hai.
Kahani ka ek Ansh
Charitraheen prem ki talash me bhatkav ki kahani hai. Yah bhatkav hai Haran ki patni kiranmayi ka. Is upnyas ka shirshak Kiranmayi pr hi aadharit hai, lekin yhi iski ekmatr katha nhi hai. Vastutah isme do kathaye samantar chlti hai – Satish-Savitri ki katha aur kiranmayi ki katha. Upendra dono kathao ko jodne vali kdi hai, Vah Satish aur Haran Babu ka mitr hai. Satish pdhayi ke liye kalakata aata hai to Upendra bimar Haran Babu ki dekhbhal ke liye.
Upendra ke ird-gird dono kathaye chalati hai. Vah ek charitrvan purush hai. Upendra ki mrtyu aur kiranmayi ke pagal ho jane ke sath is upnyas ka ant ho jata hai. Satish-Sarojani ka vivah nishchit ho jata hai aur Diwakar ko Savitri ke hath saump diya jata hai. Upendra Diwakar ka vivah apni patni ki bahan se krne ki bat bhi savitri ko kah kr jata hai. Savitri tyag ki murti ki rup me sthapit hoti hai.
Is pustak ka kul size 18 MB hai aur kul pristho ki sankhya 667 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Writer | Sharat Chandr Chattopadhyay |
Book Language | Hindi |
Book Size | 18 MB |
Total Pages | 667 |
Category | Novel |