Bharat me Angreji Raj, patrkar, itihaskar tatha svatantrta sangram senani, karm yogi namak Hindi saptahik patr ke sampadak khatauli muzaffar nagar me 1886 me janme pandit sundar lal dvara likha gya svatantrta sangram ka vah gaurav-granth hai, Jiske 18 march 1938 ko prakashit hote hi 22 march 1938 ko angrej sarkar dvara yah visphotak kitab pratibandhit kr di gyi. Bharat ke svatantrata-sangram me bauddhik urja aur prerna dene ka shrey Pandit Sundar Lal, Banaras Hindu vishvavidyalay ke sah-sansthapak aur pehle up kulpati aur all India Peace ke adhyaksh Allahabad ke suprasiddh vakil, jaise un kuchh sahasi lekhko ko bhi hai, Jinhone pd ya parinamo ki chinta kiye bina Bharatiy svadhinta ka itihas nye sire se likha. Bharat me angreji raj ne garam dal aur naram dal dono tarah ke svadhinta sangram yoddhao ko adamy prerna di.
Bharat Me Angreji Raj First Part
Is pustak ke kul 3 bhag hai. Pehle bhag me lekhak Pandit Sunder lal ji ne angrejo se purv bharat desh evam bharatiya logo ke bare me charcha kiya hai. Pustak ke pehle bhag ka kul size 24 MB hai aur kul pristho ki sankhya 733 hai. Niche diye hue link se aap is pustak ko aasani se download kr skte hai.
Bharat Me Angreji Raj Second Part
Dusre bhag me Lekhak ne Bharat me angrejo ka aagamn aur unke ranniti ko vyakt kiya hai. Pustak ke dusre bhag ka kul size 24 MB hai aur kul pristho ki sankhya 734 hai. Niche diye hue link se aap is pustak ko aasani se download kr skte hai.
Bharat Me Angreji Raj Third Part
Tisre bhag me Lekhak ne Bharat me angrejo ka atyachar aur unke unke dwara kiye jane wale julmo ka varnan kiya hai. Pustak ke dusre bhag ka kul size 20.31 MB hai aur kul pristho ki sankhya 744 hai. Niche diye hue link se aap is pustak ko aasani se download kr skte hai.