Abhigyan Shakuntalam Mahakavi Kalidas ka vishvavikhyat natak hai jiska anuvad prayah sbhi videshi bhashao me ho chuka hai. Isme Raja dushyant tatha Shakuntala ke Pranay, Vivah, Virah, Pratyakhyan tatha punarmilan ki ek sundar kahani hai. Pauranik katha me dushyant ko aakashvani dvara bodh hota hai par is natak me kavi ne mudrika dvara iska bodh kraya hai. Iski natakiyta, iske sundar kathopkathan, iski kavy-saundary se bhari upmaye aur sthan-sthan pr prayukt hui samayochit suktiya; aur in sbse badhkr vividh prasango ki dhvanyatmkta itni adbhut hai ki in drshtiyo se dekhne pr sanskrit ke bhi any natak abhigyan shakuntal se takkar nhi le skte; fir any bhashao ka to kehna hi kya ! to yhi sbse jyada achha hai.
Abhigyan Shakuntalam Katha
Shakuntalam raja Dushyant ki patni thi jo Bharat ke suprasiddh raja Bharat ki mata aur Menka apsra ki kanya thi. Mahabharat me likha hai ki Shankutalam ka janm Menka apsra ke garbh se hua tha jo ise van me chhodkr chali gyi thi. Van me Shankuto (pakshiyo) aadi ne hinsak pashuo se iski rksha ki thi, isi se iska nam Shakuntala pda. Van me se ise kanv rshi utha laye the aur apne aashram me rakhkar kanya ke saman palte the.
Ek bar raja dushyant apne sath kuchh sainiko ko lekar shikar khelne nikle aur ghumte firte kanv rishi ke aashram me pahunche. Rishi us samay vha upasthit nhi the. Isse yuvti Shakuntala ne hi raja dushyant ka aatithy satkar kiya. Usi avsar pr dono me prem aur fir Gandharv vivah ho gya. Kuchh dino bad raja Dushyant vha se apne rajy ko chale gye. Kanv muni jb lautkr aaye, tb yah jankr bahut prasann hue ki Shakuntala ka vivah Dushyant se ho gya. Shakuntala us samay garbhvati ho chuki thi. Samay pakar uske garbh se bahut hi balvan aur tejasvi putr utpann hua, jiska nam Bharat rakha gya. kehte hai, Bharat nam Bharat ke nam ar hi pda.
Is pustak ka kul size 18.01 MB hai aur kul pristho ki sankhya 262 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Book Writer | Kalidas |
Book Language | Hindi |
Book Size | 18.01 MB |
Total Pages | 262 |
Category | Drama , Literature |
thanks freehindibook.com for good collection in hindi