Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Vishnu Sahasranamam (विष्णु सहस्रनाम) Hindi PDF – 1000 names of Lord Vishnu

Vishnu Sahasranamam Bhagwan Vishnu ke hjar namo se yukt ek shrot hai. Yah Hinduo ke sbse pramukh aur pvitra shorto me se ek hai. Mahabharat me upsthit Vishnu Sahasranamam iska sbse lokpriy sanskaran hai. Is shrot me upsthit prtyek nam Bhagwan Vishnu ke anek guno me kuchh guno ko suchit krta hai. Prtidin kyi Hindu privar pujan ke samay iska path krte hai. Yah mana jata hai ki iska path krne se sari manokamnay puri ho jati hai. Manyta ke anusar ise pehli bar Kurukshetra me bano ki shayya pr lete Pitamah Bheesm ne Yudisthir ko iska updesh diya tha.

  • Origin

Kurukshetra ke yuddh me sainiko aur apne ristedaro ke jaan jate hue dekh ke Yudisthir kafi vichlit ho gye. Udhr Arjun ne Pitamah Bheesm ko unki aagya se bano ki shayya pr leta diya tha. Pitamah Bheesm bano ki shayya pr lete-lete apne pran tyagne ki prtiksha kr rhe the. Tbhi sahi samay dekh kr Bhagwan Shree Krishna aur Vedvyas ji ne Yudisthir ko sarv gyani Bheesm se dharm aur niti ke bare me updesh lene ki prerna di. Tb Yudhisthir apne sbhi bhaiyo ke sth Pitamah Bheesam ke pas pahuch gye, Unhe naman kiya aur unse prasn puchhne lge. Dharm aur Niti ke vishay me puchhe gye sbhi pandvo ke prsan aur unka Pitamah bheesm ke dwara diya gya. Uttr vivran hi Vishnu Sahasranamam ka shrot hai.

  • Shrotbhag

Vishnu Sahasranamam ke mukhyt 3 bhag hai. Jinke vivrn niche diye gye hai.

      Purv Pathika

Isme sabse pehle Ganesh ji, Viswksen, Vedvyas aur Vishnu ji ko naman kiya jata hai.

Iske bad Yudisthir ke prsn hote hai –

                                        किमेकं दैवतं लोके किं वाप्येकं परायणम्।

                                         स्तुवन्तः कं कमर्चन्तः प्राप्नुयुर्मानवाः शुभम् ॥

arth:

  • Sbhi loko ke srvottam devta kon hai?
  • Sansari jeev ka lakshay kya hai?
  • Kiski prarthna aur puja krne manav jeevan ka kalyan hota hai?
  • Sbse uttm dharm kon sa hai?
  • Kiske nam jpne se jeev ko sansar ke bndhno se mukti milti hai?

Iske bad Pitamah Bheesm uttr dete hai, ” jgt ke prabhu, devo ke dev, anant aur purushottam Vishnu ke Sahasranamam ke jpne se, achl bhkti se, stuti se, aradhna se, dhyan se, naman se mnushya ko sansar ke bndhan se mukti milti hai. Yhi sarvottam dharm hai. ”

Iske bad rishi muniyo, devo ke sanklpo aur prmatma ka dhyan kiya jata hai.

      Sahasranamam

Is bhag me Vishvam se Sarvpraharnayuddh tk sbhi sharsh (1000) namo ko 107 shloko me shamil kiya gya hai. Parmpita parmatma ke anant rup, swabhav, gun aur namo me se sharsh namo ko isme shamil kiya gya hai.

     Uttr Pathika

Sahasranam ke is bhag me yah btaya gya hai ki sahasranamam ke sirf pujan aur pathan krne se hi nhi, lekin sunne se bhi kafi labh hota hai. 

WriterUnknown
Book LanguageHindi
Book Size9 MB
Total Pages290
CategoryReligiuos - Hinduism

Download Free Hard Copy 
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy From Amazon  
Listen this book on Audible

Leave a Comment