Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Sushrut Samhita ( सुश्रुत संहिता ) PDF – Ambika Datt

Sushrut Samhita aayurved evan shalyachikitsa ka prachin sanskrit granth hai. Sushrut Samhita aayurved ke tin mulabhut granthon me se ek hai. Aathavi shatabdi me is granth ka Arabi bhasha me kitab-e-susrud nam se anuvad hua tha. Sushrut Samhita brhadtrayi ka ek mahatvpurn granth hai. Yah Sanhita aayurved sahity me shalytantr ki vrihad sahity mani jati hai. Dhanvantri dvara updisht evan unke shishy Sushrut dvara pranit granth aayurved jagat me Sushrut Samhita ke nam se vikhyat hua.

kalkram me 5vi shatabdi me Nagarjun dvara is sanhita me uttar tantr jodne ke sath-sath sampurn sanhita ka pratisanskar bhi kiya gya. Iske bad 10vi sadi me tisataputr chandrat ne jejjat ki vyakhya ke aadhar pr iski pathshuddhi ki. Unka yah yogdan bhi pratisanskar jaisa hi tha. Iske rachayita Sushrut hai jo chhathi shatabdi isapurv kashi me janme the.

Yadyapi vartmankal me uplabdh Sushrut Samhita me ashtang Aayurved ka paryapt varnan milta hai tathapi shalyachikitsa ko aadhar mankr nirmit hone ke karan ise shalyachikitsa ke prachintam evam aakr granth ke rup me manyta prapt hui hai. Aadhunik shalyachikitsak bhi Sushrut ko shalyachikitsa ka janak mante hai.

Is pustak ka kul size 161.35 MB hai aur kul pristho ki sankhya 554 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

Book TranslatorAmbika Datt Shastri
Book LanguageHindi
Book Size161.35 MB
Total Pages554
CategoryAyurveda

Download Free Book
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon  
Listen this book on Audible

Leave a Comment