Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Sanatan Dharma ( सनातन धर्म ) Hindi PDF – Kedi Khot

Sanatan Dharma apne mul rup Hindu dharm ke vaikalpik nam se jana jata hai. Vaidik kal me Bharatiya upmahadvip ke dharm ke liye Sanatan Dharma nam milta hai. Sanatan ka arth hai – Shashvat ya hamesha bna rhne vala, arthat jiska na aadi hai na ant. Sanatan Dharma mulat: bharatiya dharm hai, jo kisi jmane me pure Bharat tk vyapt rha hai. Vibhin karno se hue bhari dharmantaran ke bad bhi vishv ke is kshetr ki bahusankhyak aabadi isi dharm me aastha rkhti hai.

Sindhu nadi ke par ke vasiyo ko iranvasi Hindu kehte, jo sa ka uchcharan ha krte the. Unki dekha-dekhi Arab hamlavar bhi tatkalin Bharatavasiyo ko Hindu aur unke dharm ko Hindu dharm kehne lge. Bharat ke apne sahity me Hindu shabd koi 1000 varsh purv hi milta hai, uske pehle nhi. Hindutv Sanatan Dharma ke rup me sbhi dharmo ka muladhar hai. Kyonki sbhi dharm-siddhanto ke sarvabhaum aadhyatmik saty ke vibhinn pehaluo ka isme pehle se hi samavesh kr liya gya tha.

History

Prachin kal me Bharatiya Sanatan Dharma me ganapaty, shaivadev, koti vaishnav, shakt aur saur nam ke panch samprday hote the. Ganapaty ganeshki, vaishnav Vishnu ki, shaivdev, koti Shiv ki, shakt shakti ki aur saur sury ki puja aaradhna kiya krte the. Pr yah manyta thi ki sb ek hi saty ki vyakhya hai. Yah na keval rigved prntu Ramayan aur mahabharat jaise lokapriy grantho me bhi spasht rup se kaha gya hai.

Pratyek samprday ke samrthk apne devta ko dusre samprdayo ke devta se bda samjhte the aur is karan se unme vaimanasy bna rhta tha. Ekta bnaye rkhne ke uddeshy se dharmaguruon ne logo ko yah shiksha dena aarambh kiya ki sbhi devta saman hai, Vishnu, Shiv aur Shakti aadi devi-devta parapar ek dusre ke bhi bhakt hai. Unki in shikshaon se tino sampradaayo me mel hua aur Sanatan Dharma ki utpatti hui.

Is pustak ka kul size 988 KB hai aur kul pristho ki sankhya 78 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi. 

Book TranslatorKedi Khot
Book LanguageHindi
Book Size988 KB
Total Pages78
CategoryReligious - Hinduism

Download Free Hard Copy  
Donate us for maintenance
Buy this book from Amazon 
Listen this book on Audible 

1 thought on “Sanatan Dharma ( सनातन धर्म ) Hindi PDF – Kedi Khot”

Leave a Comment