Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Rich Dad Poor Dad ( रिच डैड पुअर डैड ) Hindi PDF – Robert T. Kiyosaki

Rich Dad Poor Dad Robert T. Kiyosaki ke dwara likhi ek best seller book hai. Is book me unhone apne jeevan ko likha hai ki. Unhone is pustak ke madhyam se logo ko dhan ke bare me puri jankari pradan kiya hai ki dhan kese kam krta hai ? Amir log aur jyada amir kyo bnte jate hai aur garib log aur jyada garib kyo hote jate hai? Dhan se judi sari bato ko is pustak me kafi saral shbdo me btaya gya hai. Aur yhi is pustak ke best seller hone ka raj hai. Kuchh log is pustak me likhi gyi bato ko saralta se smjh jate hai aur apne jeevan me kafi amir bnte jate hai jbki kuchh log bs is pustak ko keval samay vyatit krne ke liye pdhte hai. Aur apne jeevan me kuchh esa nhi krte jo unhe amir bnaye. 

  • Rich Dad Poor Dad Summary in Hindi

Lekhak Robert T. Kiyosaki ek Japani-Americi mul ke American nagrik the. Unke anusar unke do pita the ek vo jo pdhe likhe, P.HD holder the mgr apne puri jindagi bhar garib rhe aur garibi me hi mre. Vahi unke dusre pita to bahut pdhe likhe nhi the magar kafi amir the aur Unhe Robert rich dad ya amir dad bulate the. Jyadatr log ye sochenge ki ek hi insan ke do pita kese ho skte hai. Lekin Robert ke asli pita unke P.HD holder the jinhe Robert garib dad kehte hai. 

Robert ke garib pita chahte the ki Robert khub mehnat se pdhai krne ke bad kisi bdi company me naukari kr ke apna bhavishya surakshit kr le. Lekin Robert ke dusre pita jo amir the, Ve Robert ke dost Mike ke pita the. Ve chahte the ki Robert apni jeevan me kuccha challenge le. Kyoki jindagi ke sare sabak school me nhi sikhaye jate. Kuchh ese bhi sabak hote hai jinhe insan apni jeevan ke anubhavo se sikhta hai. 

Robert ke dusre pita ke anusar School ki pdhai sirf achhe Grades dila skti hai magar jindagi ki pdhai jeevan me bahut kuchh sikhati hai. Iska mtlb ye bilkul nhi hai ki pdhai nhi krni chahiye lekin keval school ke pdhai ke bhrose hi jeevan me sb kucch hasil nhi kiya jata. 

  • Rich Dad Poor Dad ka Vargikaran

Robert T. Kiyosaki ne is book ko 7 parts me vibhajit kiya hai jisme unhone paiso ke bare me puri jankari di hai. Aaaiye un 7 bhago ko dekhte hai. 

1. Rich Dad Poor Dad.
2. Amir log paiso ke liye kam nhi krte.
3. Paiso ki samajh kyo sikhai jani chahiye.
4. Apne Kam se kam rkho.
5. Tax ka itihas aur Corporation ki takat.
6. Amir log pese ka aaviskar krte hai.
7. Sikhne ke liye kam kre, Paiso ke liye nhi.

Is pustak ka kul size 5.07 MB hai aur kul pristho ki sankhya 246 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

WriterRobert T. Kiyosaki
Book LanguageHindi
Book Sizeunknown
Total Pages246
CategoryMotivational Books

Download Free in English  
Download Free in Hindi
Donate us for maintenance
Buy this book from Amazon 
Listen on Audible 

1 thought on “Rich Dad Poor Dad ( रिच डैड पुअर डैड ) Hindi PDF – Robert T. Kiyosaki”

Leave a Comment