Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Quran ( कुरान ) Hindi PDF – Hazrat Mohammad

Quran Islam ki Pak kitab hai. Muslim samuday mante hai ki ise pehli dfa Allah ne farishte aala dvara Hazarat Mohammad ko sunaya tha. Musalman mante hai ki Quran hi Allah ki bheji antim aur sarvochch kitab hai. Halanki aarambh me iska prasar maukhik rup se hua pr Paigambar Mohammad ki maut/visal ke bad 633 me ise pehli bar likha gya tha aur 653 me ise mankikrit kr iski prtiyan Islami samrajy me vitarit ki gyi thi. Musalmano ka manna hai ki Allah dvara bheje gye Pak sandesho ke sbse aakhiri sandesh Quran me likhe gye hai. In sandeshon ki shuruat adam se hui thi. Hazarat adam Islami (aur Yahudi tatha Isai) manytao me sbse pehle nabi (Paigambar ya Paymbar) the.

  • Quran Shabd ka arth

“Quran” shabd ka pehla zikr khud is pustk me hi milta hai jaha iska arth hai – usne padha, ya usne uchara. Yah shabd iske siriyayi samanantr Quriana ka arth leta hai jiska arth hota hai grantho ko padhna. Halaki pashchaty jankar isko siriyayi shabd se jodte hai, Adhikansh Musalmano ka manna hai ki iska mul qura shabd hi hai. Pr chahe jo Hazarat Mohammad ke janmdin ke samay hi yah ek Arbi shabd bn gya tha. Khud Quran me is shabd ka koi 70 bar zikr hua hai. Iske alave bhi Quran ke kyi nam hai. Ise Al- Furqan , Al-Hikmah, Dhikr/Zikr aur Mashahaf jese namo se bhi sambodhit kiya gya hai. Quran me Allah ne 25 ambiya ka zikr kiya hai.

Quran khud ko “Samjhdari” (Al-Furqan),”Guide” (Huda), “Gyan” (Hikma), “Yad” (Zikr) ke rup me varnit krta hai. Aur “rahsyodghatn” (Tanzeel ; kuchh bheja gya hai, ek vastu ke vansh ko ek uchch sthan se km jagah pr sanket). Ek aur shabd Al-Kitab (pustak) hai, jaise torah aur Bible ke liye Arbi bhasha me bhi prayog kiya jata hai. Musahaf (likhit kary) shabd ka prayog aksar vishesh kuranik lipiyon ke sandarbh me kiya jata hai lekin  isme bhi pehle ki kitabo ki pehchan krne ke lie prayog kiya jata hai.

Is pustak ka kul size 78 MB hai aur kul pristho ki sankhya 857 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi. 

BookQuran
Book LanguageHindi
Book Size78 MB
Total Pages857
CategoryReligious - Islamic

Download Free Hard Copy 
Buy Hard Copy from Amazon   
Listen this book on audible 

Leave a Comment