Nyay Shastra Hindi PDF : Vah shastr jisme kisi vastu ke yatharth gyan ke liye vicharo ki uchit yojna ka nirupan hota hai, Nyay Shastr kehlata hai. Yah vivechan paddhati hai. Nyay, chhah Bharatiya darshano me se ek darshan hai. Nyay vichar ki us prnali ka nam hai jisme vastutatv ka nirnay krne ke lie sbhi pramano ka upyog kiya jata hai. Vatsyayan ne nyayadarshan pratham sutr ke bhashy me “prmanairarthaparikshanan nyay” keh kr yhi bhav vyakt kiya hai.
Nyay ke pravartak Gautam rshi kahe jate hai. Gautam ke nyaysutr abtk prasiddh hai. In sutro pr Vatsyayan muni ka Bhashy hai. Is bhashy pr udyotakar ne Vartik likha hai. Vartik ki vyakhya vachaspati mishr ne Nyayvartik tatpary thika ke nam se likhi hai. Is teeka ki bhi teeka Udaynachary krt taptary-parishuddhi hai. Is parishuddhi pr Vardhman upadhyay krt prakash hai.
Nyayshastra ke vikas
Nyayshastra ke vikas ko 3 kalo me vibhajit kiya ja skta hai – Aadykal, Madhykal tatha Antykal (1200 ee. se 1800 ee. tk ka kal). Aadyakaal ka nyay “prachin nyay”, Madhykal ka nyay “Sampradayik nyay” (prachin nyay ki uttar shakha) aur antykal ka nyay “Navyanyay” kaha jayega.
Nyayshastra ka prayojan
Nyayavid vidvano ne nishreyas ko Nyayshastr ke adhyayan ka prayojan mana hai. Nishreyas ka arth hai- apvarg, moksh arthat sb prakar ke du:khon ki aatyantik nivrtti. Aisi nivrtti jiske bad kbhi kisi prakar ke dukh hone ki sambhavna hi nhi reh jati. Yhi manushy ke dharm, arth, kam aur moksh in chaturvidh purushartho me sarvashreshth purusharth hai.
Nyayshastr ke adhyayan se padartho ka tatvgyan hota hai aur usse aatmatatv ka sakshatkar hokr moksh ki prapti hoti hai. Tatv sakshatkar se mithyagyan ki nivrtti, mithyagyan ki nivrtti se Rag, dvesh aur moh rupi dosho ki nivrtti, dosho ki nivrtti se ardh evam ardh rup pravrtti ki nivrtti se punrjanm ka abhav aur punrjanm ke abhav se samast dukho se aatyantik mukti hoti hai.
Vaidik evam Avaidik Nyay me Antar
Vaidik nyay me Ved ko akaty prman mana jata hai, kintu Bharatvarsh me aise bh Nyay-Shastr prachalit hai. Jinhe “Bauddhanyay” aur “Jainanyay” shabd se vyavahrt kiya jata hai. In Nyayshastro me Ved ke pramanatv ka bde abhinivesh se khandan kiya hai. Inki adhiktar manyataye vaidik nyay se atyant viruddh hai, kintu yah hone pr bhi ye apne vikas ke lie vaidik nyay ke nishchit rup se adhamarn hai.
Yadypi in dono ke sath chir sangharsh ke falswrup vaidik nyay ka bhi pryapt vikas aur parishkar hua hai. Tathapi uska ek apna maulik rup bhi hai jo inse nitant aprbhavit hai. Jb ki in avaidik nyayo ke sambandh me aisa prtit hota hai ki iski maulikta bhi vaidik nyay se purn prabhavit hai. 400 ee. se 1200 ee. tk ka kal avaidik nyay ke utkarsh ka kal mana jata hai.
Is pustak ka kul size 49 MB hai aur kul pristho ki sankhya 443 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Book Translator | Brahmmitra Avasthi |
Book Language | Hindi |
Book Size | 49 MB |
Total Pages | 443 |
Category | Religious - Hinduism |