Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Madhushala ( मधुशाला ) Hindi PDF – Harivansh Rai Bachchan

Madhushala Hindi ke bahut prasiddh kavi aur lekhak Harivansh Rai Bachchan ka anupam kavy hai. Isme lagbhag ek sau paintees rubaiyan (mtlv char pnktiyo vali kavitaye) hai. Madhushala 20vi sadi ki shuruat ke Hindi Sahitya ki atyant Mahatavpurn rchna hai, Jisme suphivad ka darshan hota hai. Madhushala pehli bar sn 1935 me prkashit hui thi. Kavi sammelano me Madhushala ki rubaiyo ke path se Harivansh Rai Bachchan ko kafi prasiddhi mili aur Madhushala khub bika. Hr sal uske do-teen sanskaran chhpte gye.

Madhushala ki hr rubayi madhushala shabd se smapt hoti hai. Harivansh Rai Bachchan ne madhu, madira, hala (sharab), saki (sharaab prosne vali), pyaala (cup ya glas), madhushala aur madiralay ki madad se jeevan ki jtiltaon ke vishleshan ka pryas kiya hai. Madhushala jb pehli bar prkashit hui to sharab ki prshansa ke liye kyi logo ne unki aalochna ki. Harivansh ji ki aatmktha ke anusar, Mahatma Gandhi ne madhushala ka path sunkr kaha ki madhushala ki aalochna thik nhi hai.

Madhushala ki kuchh lines

मृदु भावों के अंगूरों की आज बना लाया हाला,
प्रियतम, अपने ही हाथों से आज पिलाऊँगा प्याला,
पहले भोग लगा लूँ तेरा फिर प्रसाद जग पाएगा,
सबसे पहले तेरा स्वागत करती मेरी मधुशाला।। १।

प्यास तुझे तो, विश्व तपाकर पूर्ण निकालूँगा हाला,
एक पाँव से साकी बनकर नाचूँगा लेकर प्याला,
जीवन की मधुता तो तेरे ऊपर कब का वार चुका,
आज निछावर कर दूँगा मैं तुझ पर जग की मधुशाला।। २।

प्रियतम, तू मेरी हाला है, मैं तेरा प्यासा प्याला,
अपने को मुझमें भरकर तू बनता है पीनेवाला,
मैं तुझको छक छलका करता, मस्त मुझे पी तू होता,
एक दूसरे की हम दोनों आज परस्पर मधुशाला।। ३।

भावुकता अंगूर लता से खींच कल्पना की हाला,
कवि साकी बनकर आया है भरकर कविता का प्याला,
कभी न कण-भर खाली होगा लाख पिएँ, दो लाख पिएँ!
पाठकगण हैं पीनेवाले, पुस्तक मेरी मधुशाला।। ४।

मधुर भावनाओं की सुमधुर नित्य बनाता हूँ हाला,
भरता हूँ इस मधु से अपने अंतर का प्यासा प्याला,
उठा कल्पना के हाथों से स्वयं उसे पी जाता हूँ,
अपने ही में हूँ मैं साकी, पीनेवाला, मधुशाला।। ५।

मदिरालय जाने को घर से चलता है पीनेवला,
‘किस पथ से जाऊँ?’ असमंजस में है वह भोलाभाला,
अलग-अलग पथ बतलाते सब पर मैं यह बतलाता हूँ –
‘राह पकड़ तू एक चला चल, पा जाएगा मधुशाला।’। ६।

Is pustak ka kul size 0.2 MB hai aur kul pristho ki sankhya 48 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi. 

WriterHarivansh Rai Bachchan
Book LanguageHindi
Book Size0.2 MB
Total Pages48
CategoryLiterature

Download Free Hard Copy 
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon  
Listen this book on audible 

  • About Writer

  Harivansh Rai Bachchan (27 November 1907 – 18 January 2003) Hindi bhasha ke ek kavi aur lekhak the. Harivansh ji Hindi kavita ke uttar chhayavat kal ke prmukh kviyo me se ek hai. Unki sbse prasiddh kirti Madhushala hai. Bharatia film udyog ke prkhyat abhineta Amitabh Bachchan unke suputr hai. Unki mrtyu 18 January 2003 me sans ki bimari ke vajah se Mumbai me hui thi. Unhone Alahabad ( Pyaagraj ) vishvavidyalay me Angreji ka adhyapan kiya. Bad me Bharat sarkar ke videsh mantralay me Hindi visheshagy rhe. Antr rajy sbha ke manoneet sadasy rhe. Harivansh ji ki ginti Hindi ke srvadhik lokpriy kaviyo me hoti hai.

Leave a Comment