Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Lal Kitab ( लाल किताब ) Hindi PDF – Pandit Rup Chand Joshi

Lal Kitab ek jyotish granth hai. Iske mul rchyita ka nam agyat aur vivadaspd hai. Bharat ke Punjab prant ke ek gav farwala (jila Jalandhar) ke navasi Pandit Rup Chand Joshi ji ne ise 1939 se 1952 ke bich me iske panch khndo ki rachna ki. Is kitab ko mul rup se Urdu aur Farsi bhasa me likha gya hai. Yah granth samudrik aur samkalin jyotish pr aadharit hai.

  • Sanskaran

Is kitab ke 5 sanskaran hai jo niche diye gye hai.

1.  Lal kitab ke farman — 1939 me prakashit
2.  Lal kitab ke arman — 1940 me prakashit
3.  Lal kitab (gutaka) — 1941 me prakashit
4.  Lal kitab — 1942 me prakashit
5 . Lal kitab — 1952 me prakashit

Is paddhati ke niyam aam prchalit jyotish se kuchh bhinn hai. Agar hm iski bhasha pr jaye to yah aam logo ki bolchal vali bhasha me likhi gyi hai. Uttar Bharat ke purane Punjab ke ilako ke log ise aasani se smjh skte hai pr anya pranto ke log chahe ve urdu jante ho ise smjhne me kathinayi mehsus krenge. Aap esa keh skte ki ” Jaise Tulsidas ji ne aam logo ke liye Ramcharitmanas likha tha, usi tarah Pandit Rup Chand Joshi ji ne jyotish ka yah granth aam logo ke liye likha.”

  • Hindi me Rupantaran

Is kitab ke kyi rupantar Hindi me uplbdh hai jo ki mul Lal Kitab 1952 ka rupantar hai. Chandigarh (Punjab) me Arun Prakashan ne sbhi kitabo ka Hindi me rupantar kiya aur ise arun sanhita Lal Kitab ke nam se prkashan kiya. Delhi ke kuchh prkashko ne bhi Lal Kitab ko chhapa hai. Sbhi kitabo me printing gltiya hai jis se asal bat ka galt mtlb bn jata hai. Lekin fir bhi in Kitabo ne Lal Kitab ko Prachalit hone me madad di hai.

WriterPandit Roop Chand Joshi
Book LanguageHindi
Book Size11.4 MB
Total Pages541
CategoryAstrology

Download Free Hard Copy 
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon  
Listen this book on audible 

Leave a Comment