Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Karmabhumi ( कर्मभूमि ) Hindi PDF – Munshi Premchand

Karmabhumi Premchand ka rajnitik upnyas hai jo pehli bar 1932 me prkashit hua. Aaj kyi prkashko dvara iske kyi sanskarn nikl chuke hai. Is upnyas me vibhinn rajnitik samsyao ko kuchh parivaro ke madhyam se prastut kiya gya hai. Ye parivar ydypi apni parivarik samsyaon se jujh rhe hai tathapi tatkalin rajnitik aandolan me bhag le rhe hai. Upnyas ka kathanak Kashi aur uske aas-pas ke ganvo se sambandhit hai. Aandolan dono hee jagah hota hai aur dono ka uddeshy kranti hai. Kintu yah kranti Gandhi ji ke satyagrah se prabhavit hai. Gandhi ji ka kehna tha ki jailo ko itna bhr dena chahiye ki unme jagah na rhe aur is prakar shanti aur ahinsa se angrej sarkar prajit ho jaye. Karmabhumi upnyas ki mul samsya yhi hai. Upnyas ke sbhi patr jailo me thus diye jate hai.

  • Kathanak

Karmabhumi ka nayak Amarkant ek asthir Gandhivadi ke rup me chitrit kiya gaya hai. Amarkant tatkalin madhyamvrg ka pratinidhi hai.  Jiski mul-pravrtti sthiti ke prti samjhautavadi hai, uski rajnitik drshti aur charitrik drdhta avishvasaniy hai. Gandhivad se prbhavit jan samuday ki bhavna, samuhik satyagrah, ganvo ke rachnatmk karykram ka chitran puri aastha se kiya gya hai. Inke sbhi charitro dvara lekhak ne rashtriy chetna, aadarsh parivarik vyavstha aadi me Gandhi darshan spasht kiya hai. Is tarah Premchand kranti ke vyapk paksh ka chitran krte hue tatkalin sbhi rajnitik aur samajik samsyao ko kathanak se jod dete hai.

Karmabhumi upnyas ke madhyam se nirdhno ke makan ki samasya, achhuto ke mandir me pravesh ki samasya, Bhartiy nariyo ki mryada aur satitv ki raksha ki samsya, British samrajy ke dmn chakr se utpann samsyaye, Bharatiy samaj me vyapt dharmik pakhand ki samsya punrjagarn aur navin chetna ke samaj me sancharan ki samsya, rashtr ke liye aandolan krne valo ki parivarik samasyaye aadi is upnyaas me bde yatharthvadi trike se vyakt hui hai.

 

Is pustak ka kul size 28.89 MB hai aur kul pristho ki sankhya 416 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi. 

WriterMunshi Premchand
Book LanguageHindi
Book Size28.89 MB
Total Pages416
CategoryLiterature

Download Free Hard Copy 
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon  
Listen this book on audible  

 

Munshi Premchand ki any Pustke :

Leave a Comment