Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Hindi Sahitya Ka Itihas ( हिंदी साहित्य का इतिहास ) PDF – Ramchandra Shukla

Hindi Sahitya Ka Itihas atyant vistrt va prachin hai. Suprasiddh bhasha vaigyanik Dr. Hardev Bahri ke shabdo me, Hindi Sahity ka itihas vastutah vaidik kal se aarambh hota hai. Yah kahna hi thik hoga ki vaidik bhasha hi hindi hai. Is bhasha ka durbhagy rha hai ki yug-yug me iska nam parivartit hota rha hai. Kbhi Vaidik, kbhi Sanskrit, kbhi Prakrt, kbhi Apbhransh aur ab – Hindi. Aalochak keh skte hai ki vaidik Sanskrit aur Hindi me to jamin-aasman ka antar hai.

Dhyan dene yogy hai ki Hibru, Russian, Chinese, German aur Tamil aadi jin bhashao ko bahut purani btaya jata hai. Unke bhi prachin aur vartman rupo me jamin-aasman ka antar hai; Pr logo ne un bhashao ke nam nhi bdle aur unke parivartit swarupo ko prachin, Madhykalin, aadhunik aadi kaha gya, jbki Hindi ke sandarbh me pratyek yug ki bhasha ka nya nam rkha jata rha.

Is pustak ka kul size 39.49 MB hai aur kul pristho ki sankhya 804 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

Book WriterRamchandra Shukla
Book LanguageHindi
Book Size39.49 MB
Total Pages804
CategoryHistory

Download Free E-Book
Donate us for maintenance
Buy this book from Amazon  
Listen this book on Audible

Leave a Comment