Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Gulamgiri ( गुलामगिरी ) Hindi PDF – Mahatma Jyotirao Phule

Gulamgiri mulatah Marathi me likhi gyi pustak hai jiska Dr. Vimal Kirti ne Hindi anuvad kiya hai. Bhasha ke hisab se dekha jaye to 144 sal pehle likhi gyi is kitab ka unhone achchha anuvad kiya hai. Us sthiti ke anusar kisi bhi samaj aur daur ke liye khatrnak hai. Jyotiba Phule ki yah pustak yathasthitivad se ldne ka rasta dikhati hai aur Hausla bhi deti hai. Jyotiba jativad ka dansh jhelkar svayam hinta me nhi jate. Blki dusro ko hinta se bahar aane ka rasta dikhate hai. Samaj me jb tk jativyavastha ke ansh bache rhenge, tb tk Gulamgiri jaisi kranti dharm pustko ki prasangikta bni rhegi.

Kahani Ka Saransh

Isme unhone dharmik Hindu grantho, avataro aur devtao ke sath-sath brahmano aur samanton ke varchasv ko nye sire se paribhashit kiya hai. Sath hi angrejo ke Kamkaj ki bhi jativyavastha ke chashme se vyakhya ki hai. 1873 me likhi gyi is pustak ka uddeshy dalito aur asprshyo ko tarkik trike se Brahman varg ki uchchta ke jhuthe dambh se parichit krana tha. Is pustak ke madhyam se Jyotiba Phule ne dalito ko hinatabodh se bahar nikalkr. Aatmsamman se jine ke liye bhi prerit kiya tha. Is mayne me yah pustak kafi mahatvpurn hai ki yha insano me parspar bhed paida krne vali aastha ko tarkik tarike se katghare me khada kiya gya hai.

Angrejo ke shasan se mukti ki ichchha aur Sangharsh ke bare me hme bahut kuchh pta hai, lekin hme yah bhi pta hona chahie ki svatantrta Sangharsh ke dauran desh ka ek bda dalit tabka, Angrejo ko brahman Shahi se muktidata ke taur pr bhi dekh rha tha. Jyotiba Phule jaise karodo Bharatiyo ke liye jatigat Gulami ka dansh itna gehra tha ki iske samne ve rajanitik Gulami ko kuchh nhi smjhte the. Dilachasp bat hai ki ve angrejo ke shasan ko atyachariyo ke shasan ki tarah se bhi nhi dekh rhe the.

Little Details of Book

Is pustak ka kul size 1 MB hai aur kul pristho ki sankhya 59 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi. 

WriterMahatma Jyotirao Phule
Book LanguageHindi
Book Size1 MB
Total Pages59
CategoryPhilosophy

Download Free Hard Copy  
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy on Amazon  
Listen this book on audible  

 

If you're loving our work don't forget to Donate us.

Leave a Comment