Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Computer Virus ( कंप्यूटर वायरस ) Hindi PDF – Dhirendra Kumar

Computer virus ya Computer vishanu ek Computer program hai jo apni anulipi kr skta hai aur upyog krta ki anumati ke bina ek Computer ko sankramit kr skta hai aur upayog krta ko iska pta bhi nhi chlta hai. Vibhinn prkar ke malware aur adware programs ke sandarbh me bhi “Virus” shabd ka upyog samany rup se hota hai, halanki yah kbhi-kbhi glti se bhi hota hai. Mul virus anulipiyo me privrtn kr skta hai ya anulipiya khud apne aap me parivartan kr skti hai, jaisa ki ek rupantarit virus (metamorphic virus) me hota hai. 

Computer Virus kese failta hai?

Ek virus ek Computer se dusre Computer me tbhi fel skta hai jb iska host ek asankramit Computer me laya jata hai, udaharan ke liye ek upayog krta ke dvara ise ek network ya internet pr bhejne se, ya ise htaye jane yogy madhyam jaise Floppy Disk, CD, ya USB Drive pr lane se. Isi ke sath virus ek aise network file system pr sankramit sanchikaon ke dvara dusre computer pr fail skta hai jo dusre computers pr bhi khul skti ho.

Kbhi kbhi computer ka kida (computer worm) aur Trojan horses ke liye bhi bhram purvk virus shabd ka upyog kiya jata hai. Is pustak ka kul size 9.58 MB hai aur kul pristho ki sankhya 148 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi. 

Book WriterDhirendra Kumar
Book LanguageHindi
Book Size9.58 MB
Total Pages145
CategoryComputer - Technology

Download Free Hard Copy 
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon 
Listen this book on Audible

Leave a Comment