Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Bharatiya Jyotish ( भारतीय ज्योतिष ) Hindi PDF – Laxmichandra jain

Bharatiya Jyotish grahan aur nakshtro ki ganna ki vah pddhti hai jiska Bharat me vikas hua hai. Aaj bhi Bharat me isi pddhti se panchang bnaye jate hai, jinke aadhar par desh bhr me dharmik tyohar mnaye jate hai. Vartman kal me adhikansh panchang surya siddhant, Mrknd Sarniyo aur grhalaghav ki vidhi se prastut kiye jate hai. Kuchh aise bhi panchang bnte hai jinhe notikal almnak ke aadhar pr prastut kiya jata hai, Kintu inhe praya Bharatiya nirnay pddhti ke anukul bna diya jata hai.

Prachin Bharat me j‍yotish ka arth graho aur nkshtro ki chal ka adh‍yayan krne ke liye tha, Yani Brhmand ke bare me adh‍yayan. Kalantar flit Jyotish ke smavesh ke chlte Jyotish shb‍d ke mayne badal gye aur ab ise logo ka bhag‍y dekhne vali vidya smjha jata hai.

  • Parichay aur Itihas

Bharat ka Prachintam uplbdh Sahity vaidik sahity hai. Vaidik kal ke Bharatiya yagya kiya krte the. Yagyo ke vishist fal prapt krne ke liye unhe nischit samay pr krna aavashyak tha isliye vaidik kal se hi Bharatiyo ne vedhon dvara Sury aur Chandrma ki sthitiyo se kal ka gyan prapt krna shuru kiya. Panchang sudhar samiti ki report me diye gye vivrn (prshth 218) bharatiya jyotish ke anusar rigved kal ke aaryon ne chandr – saur vrsh ganna pddhti ka gyan prapt kr liya tha. Ve 12 chandr mas aur chandr mahino ko saur vrsh se smbddh krne vale adhimas ko bhi jante the. Din ko chndrma ke nakshtr se vykt krte the. Unhe chandr gtiyo ke gyan upyogi chandr rashi chakr ka gyan tha. Vrsh ke dino ki snkhya 366 thi, jinme se chandr vrsh ke liye 12 din ghta dete the. Report ke anusar rigved kaleen aaryo ka samay km se km 1,200 vrsh isa purv avshy hona chahiye.

Is pustak ka kul size 18.7 MB hai aur kul pristho ki sankhya 704 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi. 

WriterNemichandra Shastri
Book LanguageHindi
Book Size18.7 MB
Total Pages704
CategoryAstrology

Download Free Hard Copy 
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon  
Listen this book on audible  

 

Read more Astrology books.

Leave a Comment