Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Apne Samne ( अपने सामने ) Hindi PDF – Kunvar Narayan

Apne Samne Hindi PDF : Kunvar Narayan ka yah kavita-sangrah ek lmbe samay ke bad aa rha hai. Aatmajayi ke bad ki ye kavitaye rachnakal ki drshti se kisi ek hi samay ki nhi hai; isliye ek tr chr ki bhi nhi hai. Vividhta vaise bhi unki vishishtata hai kyonki jeevan ko anubhuti aur chintan ke vibhinn dharatlo pr grahan krne vale kavi Kunvar Narayan apni kavitao me seemaye nhi bnate.

Unki jyadatr kavitaye kisi ek hi tarah ki bhasha ya vishay me visarjit-see ho gyi nhi lagti – dono ko vistrt krti lgti hai. Anek kavitaye mano smapt nhi hoti. Ek khas tarah hmari bechainiyo ka hissa bn jati hai. Is tarah se dekhe to ve apne ko siddh krnevale kavi hme nhi najar aate. Ve barabr apni kavitao me muhavro se bchte hai aur apne dhang se unse ldte bhi hai.

Unki kavita ki bhasha me dhokhe nhi hai. Adhikansh kavitao ka painapan jindagi ke kyi hisso ko bilkul nye dhang se chhuta hai. Ve mante hai ki dainik yatharth ke sath kavita ka rishta najudik ka bhi ho skta hai aur dur ka bhi aur dono hi tarah vah jivan ke lie mahatvpurn ho skta hai. Saval hai kavita kitne sachche aur udar artho me hme aadami bnane ki takat rakhti hai.

Kavita unke liye jeevan ka pratibimb matr nhi, jeevan ka sbse aatmeey prasang hai. Kavita, jo apne charo taraf bhi dekhti hai aur apne ko samne rakhkr bhi. Unki kavitao me hme bahut satark kism ki bhasha ka istemal milta hai; vah kbhi bahut gaharai se kisi aitihasik ya dashanik anubhav ki taho me chali jati hai aur kbhi itni saral dikhti hai ki vah hme apne bahut karib najar aati hai. 

Bahuayami staro pr bhasha se yah ladai aur pyar Kunvar Narayan ko chunauti deta hai, Khasataur pr ek aise vakt me jb kavita ka ek bda hissa ek hi tarah ki bhasha me apne ko abhivyakt kiye chala ja rha hai. Hindi ke agrani aadhunik kavi Kunvar Narayan ki kavita ko duniya me jane ka matalab jindagi ko gaharai aur vistar se dekhne aur janane ka achchha mauka pa lena hai.

Is pustak ka kul size 664 KB hai aur kul pristho ki sankhya 114 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

WriterKunvar Narayan
Book LanguageHindi
Book Size664 KB
Total Pages114
Categoryunknown

 

Kunvar Narayan ji ki Any pustake :

अगर आपको इस पुस्तक को डाउनलोड करने में कोई भी परेशानी हो रही हो तो कृपया हमे टेलीग्राम पर बताये।

11 thoughts on “Apne Samne ( अपने सामने ) Hindi PDF – Kunvar Narayan”

    • Hi Sanya !
      Thanks for connecting us through comment. The book is avail in both Hindi & English language. You can listen the book by tapping above audible link.

      Reply
  1. I’m not able to download this book. Whenever I click on download option then some other random book appears. Please help me out with this problem

    Reply
  2. I am unable to download this book. Whenever I click on download option then it reach a invalid page. Please help me out with this problem….

    Reply
    • Hey, There is system to reduce spam. When you click to download please wait till 20 second then you’ll see the download option click that your book will download automatically.

      Reply

Leave a Comment