Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Kamasutra (कामसूत्र) Hindi PDF – Maharshi Vatsyayan

Kamasutra, Mahrshi Vatsyayan dwara likhi gyi ek prachin Bhartiya Kamasastra Granth hai. Ye visva ki pehli yaun sanhita h jisme manosharirik siddhanto aur prayogo ko vistrit rup se btaya gya hai. Jese ki Arthsastra ke kshetra me Kautilya ko mana jata h, vese ki kaam (Yaun) ke kshetra me Kamasutra ko mana jata hai. Kamasutra ko visva ka esa grantha btaya jata h jisme sari yaun se judi hui galat-fahmiyo ka ant hai. Isme 7 adhikaran, 36 adhyay, 64 prakaran aur 1250 shlok hai. lekhko ne ise likhne se pehle bahut sari suchi taiyar kiya thi jise unhone  Shastrasangrah nam diya.

Kamasutra ke Adhikaran

  • Sadharan

Kamasutra ke pehle adhikaran ka nam Sadharan hai. Shastrasangrah, pehle adhikaran ke pahle adhyay ka pahla prakaran hai. Pehle adhikaran me hme yhi btaya gya hai ki Dhrama, Arth aur Kaam ki prapti kese ki ja skti hai. Kamasutrakar ne btaya ki hme pehle vidhhya pdhni chahiye, uske bad hi use prayog me lana chahiye.

  • Samorayogik

Kamasura ke dusre adhikaran ka nam Samprayogik hai. Samprayog ka arth hota h ‘ Sambhog ‘ . Is adhikaran me Stri-Purush ki sambhog ko bahut sare tariko se btaya gya hai is liye iska nam ‘samprayogik’ rkha gya hai. Kamasutrakar ne btaya ki purush arth, dharm aur kaam in teeno vargon ko prapt krne ke liye stree ko avashya prapt kare kintu jb tak sambhog kla ka samyak gyaan nhi hota hai tb tk trivarg ki prapti pure trike se nhi ho skti hai aur na anand ka upabhog kiya ja skta hai.

  • Kanyaasamprayuktak

Kamasutra ke tisre adhikaran ka naam Kanyaasamprayuktak hai. Isme yah bataya gya hai ki ek nayak ko kese kanya se shadi krni chahiye, kin triko se use apni aur aakarshit krk apni vishwaspatri premika bnaya jaye aur usse shadi ki jaye. Kamasutrakar vivah ko dharmik bandhan mante hue do dil ka milan svikar krte hai. Pahle do dil aapas prem aur vishwas prapt kr ek ho jaye tb vivah bandhan mein bandhna chahiye, Yhi is adhikaran ka kehna hai.

  • Bharyadhikarik

Kamasutra ke chauthe adhikaran ka naam Bharyadhikarik hai. Isme btaya gya hai ki vivah ho jane k bad kanya ‘Bharya‘ ho jati hai. Isme Ekcharini (Premika) aur Bharya (Patni) ke sambandh ke bare me btaya gya hai.

  • Pardaarik 

Kamasutra ke panchve adhikaran ka nam Pardaarik hai. Isme yah btaya gya hai ki dusre stree aur dusre purush me prem kis prishitiyo me utpann hota hai, badhta hai aur dusro se alag hota hai? kese dusre stree se pyar krke uski bure vyaktiyo se raksha ki ja skti hai? 

  • Vaishik

Kamasutra ke chhathe adhikaran ka nam Vaishik hai. Is adhikaran me Vaishayao aur unke chritra ki vyakhya ki gyi hai. Mahrshi ji ne vaishyavriti ko ek bura kaam btate hue unki ninda ki hai.

  • Aupnishdik 

Kamasutra ke satve adhkaran ka nam Aupnishdik hai. Yah adhikaran puri trike se aakarshan k bare me hai ki kis tarah se stree ko aakrshit kre? Apne saundarya ko kis tarah se nikhare taki stree puri trike se vashibhut ho jaye? Yaun swasthya ko kis trh se bdhaya jaye ? Aupnishdik ka sabdik arth ‘ Totka ‘ hai.

Padhne se esa lgta hai ki aaj k pustko me pehle se alag jankariya hai. Anumamn yha tk lgaya jata hai ki sabse pehle Nandi ne Brahma ke pravachan se Kamashastra ko alag kiya tha. Kamashastra padhne k bad man ko shannti prapt hoti h. Aap bhi is pustak ka vivran pure trike se pdh skte hai.

Is pustak ka kul size 25 MB hai aur kul pristho ki sankhya 160 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

WriterMahrshi Vatsyayan
Book LanguageHindi
Book Size25 MB
Total Pages160
CateogoryErotic-Adult

Download Free Hard Copy 
Donate us for maintenance
Buy Book From Amazon  
Listen this book on Audible

 

If  you’re loving our work then don’t forgot to Donate us.

 

Kamsutra ke any bhag :

Mahrshi Vatsyayan Bharat ke ek prachin darshnik the. Jinka samay Guptvansh ke kal 6-7 shtabdi k bich mana jata hai. Unki mukhya rachna Kamasutra aur Nyaysutrabhasya hai. Unhone Kamasutra me na kewal shadi k bad ke jeewan ko sjaya hai blki Kla, Shilp ko bhi sampadit kiya hai. Arthsastra ke kshetra me jo sthan Kautilya ka hai, Kaam ( yaun ) ke kshetra me Mahrshi Vatsyayan ka hai. Vatsyayan ji bharat ke Patliputra ( Patna ) me krib 2-3 shtabdi me the. 

Leave a Comment