Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Bhavishya Puran ( भविष्य पुराण ) Hindi PDF – Pt. Durga Prasad Chaurasia

Bhavishya Puran 18 pramukh Purano me se ek hai. Vishay-vastu evan varnan – Shailee ki drishti se yah ek vishesh granth hai. Isme dharm, sadachar, neeti, upadesh, anekon aakhyan, vrat, tirth, dan, jyotish evam aayurved ke vishyon ka sangrah hai. vetal-vikram-sanvad ke rup me isme Ramneey katha-prabandh hai. Iske atirikt isme nitykarm, sanskar, samudrik lakshan, shanti tatha paushtik karm aaradhna aur anek vratonka bhi vistrit varnan hai. Bhavishy puran me bhavishy me hone vali ghatanao ka varnan hai. Isse pta chalta hai ki isa aur muhammad ke janm se bahut pehle hi bhavishy puran me Maharshi Vedvyas ne puran granth likhte samay muslim dharm ke Udbhav aur Vikas tatha Isa Masih tatha unke dvara prarambh kiye gye isai dharm ke vishay me likh diya tha.

Bhavishy puran ke anusar, iske shloko ki sankhya pachas hajar ke lagbhag honi chahiye. Parantu vartman me kul 14,000 shlok hee uplabdh hai. vishay-vastu, Varnanshaili tatha kavy-rchna ki drshti se Bhavishya Puran mahatvpurn granth hai. Iski kathaye rochak tatha prabhavotkpadak hai. Bhavishy Puran me bhagwan Sury Narayan ki mahima, Unke swarup, puja upasna vidhi ka vistar se ullekh kiya gya hai. Isiliye ise ‘saur-puran’ ya ‘saur granth’ bhi kaha gya hai.

Is pustak ka kul size 8 MB hai aur kul pristho ki sankhya 501 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

WriterShri Ram Sharma Acharya
Book LanguageHindi
Book Size8 MB
Total Pages501
CategoryReligious - Hinduism

Download Free Hard Copy  
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon   
Listen this book on audible 

 

If you're loving our work don't forget to Donate us.

Shesh Purano ke Nam :-

Leave a Comment