Thank you for your visit. Your links will be created in 1 seconds.

Durga Saptashati (दुर्गासप्तशती) Sanskrit PDF – Magriram Shastri


Durga Saptashati, Markandeya Puran ka ek Ansh hai, Jisme Devi Durga ki Mahishasur pr jeet ka varnan hai. Yah Hindu anuyayio ka prachin dharmik granth hai. 700 Shlok hone ke karan hi ise Durga Saptashati kaha jata hai. Navratri ke dino me iska kafi path kiya jata hai. Durga Saptashati me kul 13 adhyay hai, jinko 3 charitro me bata gya hai. Pratyek adhyay me ma Bhagwati ki mahima aur unke rupo ka varnan kiya hai. Durga Sapashati ka pratham chritra me madhu Kaitabh vadh katha, madhyam me Mahishasur ka sanhar aur uttar charitra me sambhu-nisambhu vadh aur surath aur vaishay devi ma se mile vardan ka vivran hai.

Km samay me Durga Saptashati ka sampurn labh lene ke liye sabse pehle kavach, kilak aur argla strot ka path krna chahiye. Iske bad kunjika strot ka path kr le. Esa krne se Durga Saptashati ke sampurn path ka fal prapt ho jata hai. Purano ke anusar, Bhagwan Shiv ne Mata Parvati ko yah upay btaya tha. Unhone Mata Parvati ko kaha tha ki inka path krne se puny fal ki prapti hoti hai aur sampurn Durga Saptashati ke path ka labh bhi hota hai. Bhagwan Shiv ne kaha tha Durga Saptashati ke mantra ka upyog kisi ke ahit krne ke liye nhi krna chahiye. Esa krne se us vyakti ka hi ahit hota hai.

Is pustak ka kul size 4 MB hai aur kul pristho ki sankhya 131 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

WriterMagriram Shastri
Book LanguageSanskrit
Book Size4 MB
Total Pages131
CategoryReligious - Hinduism

⬇️ Download E-Book For Free

Donate Us

Buy this Book From Amazon

Listen this Book on Audible