Thank you for your visit. Your links will be created in 1 seconds.

Ego is the Enemy ( अहंकार दुश्मन है ) Hindi PDF – Ryan Holiday


Ego is the Enemy Hindi PDF  – Jab aap apne andar ke dushman se jeet jate hai, to bahar ka dushman, aapka kuchh bhi nuksan nhi kr skta. Andar ke dushman bahut sare hote hai. Jaise ki aalas, gussa aur ghamand. Is pustak me ek khas tarah ke dushman ki bat ki gyi hai. Jiska nam hai- Ego. Yah hmare charitr ka vah hissa hai. Jo hmare bare me hmesha achchha sochta hai. Apne bare me achchha sochna koi galat bat nhi hai. Lekin jb aap apni kamiyo ko andekha krke. Apne galat kamo ko bhi achchhi najar se dekhne lgte hai. To yah nuksandayak ho skta hai. Is pustak me btaya gya hai ki Ego vastvikta me hota kya hai. Kis tarah se ham ise kabu kr skte hai. Ise kabu na krne ke kya nuksan ho skte hai.

Isi Ego ke bare me, Author Ryan Holiday ne apni pustak Ego is The Enemy me vistar se btaya hai. Unka manna hai ki hr kisi ki jindgi me 3 Phases chlti hai :
1. Pehli – Aspire,
2. Dusri – Success,
3. Tisri – Failure

Hmara Ego inhi 3 Phases me hmare pas aata hai. Hme barbad krne ke lie. Is pustak me yhi btaya gya hai ki kaise hmara Ego in 3 Phases of Life me hmare pas aata hai. Kese hm inse bchkr, apni Life ko achhe se chala skte hai.

What is Ego ?

Ego aur Attitude me sirf ek hi antar hai. Attitude sirf ek, way of living hai. Vahi Ego us Way of Living ko dikhakr, apne aapko bda btana hai. Jaise ki har Indian, Asian hai. lekin har Asian ka Indian hona jaruri nhi hai. Vaise hi har Egoistic Person ke andar Attitude hota hai. Lekin har Attitude vale insano me Ego ho. Aisa jruri nhi. Aajkal jyadatr log Attitude ko Ego se Connect krte hai. Lekin aisa nhi hai. Ego Attitude se bahut chhota hota hai. Vhi Ego, bad Attitude ka part hota hai.

Udaharan ke lie, jiske pas good Attitude hai. Vah yah bolega, mere andar capabilities hai. Jo mujhe sbse safal bnayengi. Vhi pr egoistic person kahega. Mere pas itni jyada knowledge hai ki mujhse jyada buddhiman is duniya me koi aur nhi hai. Ego ko humility meter se Check kiya ja skta hai. Jaise ki jitni jyada humility (vinamrta) hogi, utna km Ego us Person ke andar hota hai. Iska mtlb Ego, Humility ke indirectly proportional hota hai. Ab bat aati hai ki ham apnee jindagi ke 3 Phases pr. kis prakar ke Ego se milenge. Unko kaise sahi kiya ja sakega.

Ego is The Enemy

Phase 1 : Aspire

Kuchh kam krne se pehale, Ego hme barbad krne ki koshish krta hai. Yah vah stage hoti hai. Jab hm apne goal ko set krte hai. Uske liye kam krne ja rhe hote hai. Aapne bhi bahut sare, Aise logo ko dekha hoga. Jo har sal ki shuruat me, New year resolution krke kuchh start krte hai. Fir kuchh hi dino me, use band kar dete hai. Aisa isliye hota hai, kyonki vah us kam ki shuruat to krte hai, fir puri duniya ko btate hai. Dekho maine yah New Year Resolution liya hai. Mai apni jindagi ko badal dunga.Kyi bar aisa kaha gaya hai ki agar ham apne goal ko duniya ko bata dete hai. Tab hmare andar motivation aata hai. Fir ham us kam ko complete krte hai. Lekin isme ek dikkat aati hai. Hm sirf bat krte hi rah jate hai. Apne goal ko pane ke lie, kuchh bhi kam nhi krte. Hm sirf btate hai ki vah ek din aisa krenge. Itne paise kmayenge vo gadi kharidenge. Aisi hi bahut sari bate krte rehte hai. Lekin vah ek chij krna bhul jate hai, joki ek action hai.

Phase 2 – Success

Is Phase me aae hue Ego, hme aage chalkr bahut jyada nuksan pahuncha skte hai. Is bat ko smjhne ke liye, author ne ek bahut achchha example diya. Howard Hues apne samay ke sbse adhik financially successful person the. Unhone pehli bar success ko tb dekha. Jab vah 18 sal ke the. Apne pita ki mrityu ke bad unhone apne pita ki tools company ke sare share kharid liye. Us vakt sab log yah kah rhe the ki yah ek galat nirnay hai. Howard Hues, bankrupt ho jaenge, Lekin aisa nhi hua.

Unake is nirnay ki vajah se, unhonne billions of dollar kmae. Jb unhe saflta prapt hua. Tb unke andar bahut sara Ego aa gya. Unhe lga ki vah jis bhi business me jayenge. Vha pr vah safal ho jayenge. Isi vajah se, unhonne Different types of businesses me paise lgaye. Vah film industry me gye. Aviation Business me gye. Unhone RKO Movie Studio bhi kharid liya. Jisme unko bahut loss hua aur bhi bahut sare business me, unhe loss hua. Unhe kafi nuksan hua.

Phase 2 – Failure

Aap soch rhe honge. Failure hone me kaisa Ego. Kyonki Failure hone pr to, hm har jate hai. Hmara sara Ego to khatm ho jata hai. Han, aapne bilkul sahi smjha. Lekin aise kafi log hote hai. Jo ek bar fail hone ke bad, bar-bar fail hote rhte hai. Vah ek hi galti ko bar-bar dohrate rhte hai. Jiske parinam svarup fail hote rhte hai. Kya aapne kabhi aisa socha hai ki vah aisa kyon krte hai. Kyonki unke Ego ne, unki aankhe band kr rkhi hoti hai. Unka Ego unko yah manne se rokta hai, ki vah galat ho skte hai ya vah bhi fail ho skte hai.

Ego is The Enemy Book in Hindi

Is pustak ka kul size 1.7 MB hai aur kul pristho ki sankhya 160 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

WriterRyan Holiday
Book LanguagesEnglish & Hindi
Book Size1.7 MB
Total Pages160
CategoryMotivational - Books , Self - Help Books

⬇️ Download E-Book For Free

Donate Us

Buy this Book From Amazon

Listen this Book on Audible