Thank you for your visit. Your links will be created in 1 seconds.

Rajasthan Ka Itihas ( राजस्थान का इतिहास ) PDF – James Tod


Rajasthan Bharat ka ek mahatvpurn prant hai. Yah 30 March 1949 ko Bharat ka ek aisa prant bna, jisme tatkalin Rajputana ki taktvar riyasate vilin hui. Bharatpur ke jat shasko ne bhi apni riyasat ke vilay Rajasthan me kiya tha. Rajasthan shabd ka arth hai: Rajao ka sthan kyonki yha Ahir, Gurjar, Rajput, Maury, Jaat aadi ne pehle raj kiya tha. Bharat ke sanvaidhanik-itihas me Rajasthan ka nirman ek mahatvpurn uplabdhi thi.

British shasko dvara Bharat ko aajad krne ki ghoshna krne ke bad jb satta-hastantaran ki karyvahi shuru ki. Tbhi lag gya tha ki aajad Bharat ka Rajasthan prant bnna aur Rajputana ke tatkalin hisse ka Bharat me vilay ek dubhar kary sabit ho skta hai. Aajadi ki ghoshna ke sath hi Rajputana ke deshi riyasato ke mukhiyao me svatantr rajy me bhi apni satta barkrar rkhne ki hod si mach gyi thi. Us samay vartman Rajasthan ki bhaugalik sthiti ke njriye se dekhe.

Rajputana ke is bhubhag me kul 19 deshi riyaste, 3 thikane va ek kendr shasit pradesh tha. Kendr shasit pradesh ka nam Ajmer Mervada tha jo sidhe kendr yani Agrejo ke adhin tha. Inme ek riyasat Ajmer Mervada prant ko chhod kr shesh deshi riyasato pr deshi raja maharajao ka hi raj tha. Ajmer-Mervada prant pr British shasko ka kbja tha. Is karan yah to sidhe hi svatantr Bharat me aa jati, magar shesh 19 riyasato ka vilay hona yani ekikaran kar Rajasthan namak prant bnaya jana tha.

Satta ki hod ke chlte yah bda hi dubhar lag rha tha kyonki in deshi riyasto ke shasak apni riyasto ke svatantr Bharat me vilay ko dusri prathmikta ke rup me dekh rhe the. Unki mang thi ki ve salo se khud apne rajyo ka shasan chlate aa rhe hai. Unhe iska dirghkalin anubhav hai. Is karan unki riyasat ko svatantr rajy ka darja de diya jaye.

Karib ek dashak ki uhapoh ke bich 18 March 1948 ko shuru hui. Rajasthan ke ekikaran kee prkriya kul sat chrno me ek November 1956 ko puri hui. Isme Bharat sarkar ke tatkalin deshi riyasat aur grh mantri Sardar Vallabh Bhai Patel aur unke sachiv V. P. Menan ki bhumika atyant mahatvpurn thi. Inki sujhbujh se hi Rajasthan ke vartman svarup ka nirman ho ska.

Is pustak ka kul size 31.5 MB hai aur kul pristho ki sankhya 522 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

Book WriterJames Tod
Book LanguageHindi
Book Size31.5 MB
Total Pages522
CategoryHistory

Download Free E-Book
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon  
Listen this book on Audible