Thank you for your visit. Your links will be created in 1 seconds.

Bharat ki Khoj ( भारत की खोज ) PDF – Pt. Jawaharlal Nehru


Bharat ki Khoj ek prasiddh pustak hai jiski rchna Jawaharlal Nehru dvara ki gyi hai. Is pustak ki rchna 1944 me April-September ke bich Ahamadnagar ki jel me hui. Is pus‍tak ko Nehru ji ne English me likha aur bad me ise Hindi aur an‍ya bahut sare bhashao me anuvad kiya gya hai. Nehru ji ne ise Bharatiya s‍vatantrta aandola ke daur me 1944 me Ahamadnagar ke kile me apne panch mahine ke karavas ke dino me likha tha. Yah 1946 me pus‍tak ke rup me prakashit hui.

Is pus‍tak me Nehru ji ne sindhu ghati sabhyta se lekar Bharat ki aazadi tk vikasit hui. Bharat ki bahuvidh samrddh sans‍krti, dharm aur jatil atit ko vaigyanik dashti se vilakshan bhasha shaili me likha hai. Bharat ki Khoj ki yatra prachin itihas se shuru hoti hai, jo British raj ke antim varsho tk chalti hai. Nehru prachin itihas par upanishado, vedo aur pathypustko ke apne gyan ka upyog pathak ko Sindhu Ghati sabhyta se Bharat ke vikas se parichit krane ke liye krte hai.

Samajik-rajnitik paridrshy me badlav ke madhyam se hr videshi aakrmankari, vartman paristhitiyo me laya jata hai. Nehru ko any Bharatiy netao ke sath Bharat chhodo aandolan me bhag lene ke liye jail me dal diya gya tha. Unhone is samay ka upyog Bharat ke itihas ke bare me apne vicharo aur gyan ko likhne ke liye kiya tha. Pustak Bharatiya itihas, darshan aur sanskrti ka ek vyapak drshtikon pradan krti hai.

Jaisa ki apne desh kee svatantrata ke liye lad rhe ek bharatiy ki aankho se dekha jata hai. Unhone apne karavas ke dauran pustak likhi. Bharat ki Khoj me, Nehru ne tark diya ki Bharat ek aitihasik rashtr tha jise samprabhuta ka adhikar tha. Is pustak me Bharatiy jeevan ke darshan ka bhi gehrai se vishleshan kiya gya hai. Isme 10 adhyay hai. 

Nehru ne pustak ki kuchh samagri ka shrey Ahamadnagar jail me apne sathi kaidiyo ko diya hai. Vah unme se char maulana Abul Kalam Aajad, Govind Ballabh Pant, Narendra Dev aur Aasaf Ali ka vishesh ullekh krte hai. Unke sbhi sathi kaidi (unme se gyarah) desh ke vibhinn hisso ke rajnitik kaidi the. Jinhe Bharat ke vibhinn pehaluo ke bare me gehra gyan tha, jis pr pustak charcha krti hai. Unhonne Nehru ke kam ke proof-reading aur unhe rachnatmak sujhav pradan krne me bhi bhag liya.

Is pustak ka kul size 14.04 MB hai aur kul pristho ki sankhya 399 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

Book TranslatorPt. Jawaharlal Nehru
Book LanguageHindi
Book Size14.04 MB
Total Pages399
CategoryHistory

Download Free Book
Donate us for maintenance
Buy this book from Amazon  
Listen this book on Audible