Thank you for your visit. Your links will be created in 1 seconds.

Brahm Vaivart Puran ( ब्रह्मवैवर्त पुराण ) Hindi PDF – Shri Ram Sharma Acharya


Brahm vaivart Puran vedmarg ka dasvan puran hai. Attharah purano me prachintam puran Brahm vaivart puran ko mana gya hai. Is puran me jeev ki utpatti ke karan aur Brahma ji dvara samast bhumandal, jal-mandal aur vayu-mandal me vicharan krne vale jeevo ke janm aur unke palan poshan ka savistar varnan kiya gya hai. Isme Bhagwan Shree Krishan ki lilao ka vistrt varnan, Shree Radha ki golok-leela tatha avtar-lilaka sundar vivechan, vibhinn devtao ki mahima evam ekarupta aur unki sadhna-upasnaka sundar nirupan kiya gya hai. Anek bhaktiparak aakhyano evan stotronka bhi isme adbhut sangrah hai.

Yah puran kehta hai ki is vishv me asankhy brahmand vidyman hai. Pratyek brahmand ke apne-apne Vishnu, Brahma aur Mahesh hai. In sbhi brahmando se bhi upr sthit golok me Bhagwan Shree Krishan nivas krte hai. Srishti nirman ke uprant sarvpratham unke arddh vam ang se arddhanarishvar swarup me Radha prakat hui. Krishan se hi Brahma, Vishnu, Narayan, dharm, kal, Mahesh aur prakrti ki utpatti btayi gyi hai, fir narayan ka prakaty Krishan ke daye ang se aur panchmukhi Shiv ka prakaty Krishan ke vam parshv se hua. Nabhi se Brahma, Vakshasthal se dharm, vam parshv se pun: laxmi, mukh se saraswati aur vibhinn ango se durga, savitri, kamdev, rati, agni, varun, vayu aadi devi-devtao ka aavirbhav hua.

Is pustak ka kul size 24 MB hai aur kul pristho ki sankhya 501 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi. 

WriterShri Ram Sharma Acharya
Book LanguageHindi
Book Size24 MB
Total Pages501
CategoryReligious - Hinduism