Thank you for your visit. Your links will be created in 1 seconds.

Kafan (कफ़न) Novel Hindi PDF – Munshi Premchand


Kafan Premchand dvara rachit kathasangrah hai. Isme Premchand ki antim kahani Kafan ke sath any 13 kahaniya sankalit hai. Pustak me shamil pratyek kahani manav mn ke anek drshyon, Chetna ke anek chhoro, samajik kuritiyo tatha aarthik utpidan ke vividh aayamo ko sampurn kalatmkta ke sath anavrt krti hai. Kafan kahani Premchand ki any kahaniyo se ekdm bhinn hai. Unke kahani-sansar se iska sansar sarvtha nisanssang hai, Isaliye unki kahaniyo se parichit logo ke lie yah anbujh paheli ho jati hai, Premchand ke sambandh me bni hui purvavarti dharna ke aahe prashn chihn lga deti hai. Yah mulyo ke khandar hi kahani hai. Aadhunikta ke sare mudde isme mil jate hai. Yah to aadhunikta bodh ki pehli kahani hai.

Kahani ka Saransh

Is kahani me kathanak ki mul sanvedna yah hai ki aadhunik aarthik vishmta, berojgari aur nikamme samaj-vyavastha ke karan sarvhara varg kitna swarthi, kamchor aur jad ho jata hai ki vah apni mritak putra vadhu aur patni ke Kafan ke lie ekatr chande ke dhan ko sharab pine me vyay kar dalta hai aur ant me apne kukrty ka samarthan krne ke lie samaj ki riti-rivaj ko kosta hua kehta hai ki “Kaisa bura rivaj hai ki jise jite ji, tan dhakan ko chithda bhi na mile use mrne pr kafan chahiye. Kafan lash ke sath jalkar rakh ho jata hai.

Is prakar, kahani ke kathank ka aarambh Ghisu aur Madhav ki din-hin evam karunik samasya sa hota hai. Iske pashchat parichay aur ghatna ki taiyari hoti hai, jisme kahanikar yah dikhata hai. Madhav ki patni ke bachcha hone vala hai, vah prasav-vedna se chhatpta rhi hai. Jbki jhopde ke dvara alav ke samne Ghisu aur Madhav dono bap-bete chupchap baithe yah intjar kr rhe hai ki kb patni mre aur ghar me shanti ho. Iske uprant kathank me uttejak ghatna aati hai. Jisme Madhav ki stri mr jati hai, pehale to dono chhati pitkr hay-hay krte hai, fir ka lakdi ke lie chanda ikattha krte hai, iske anantar kathanak me sach me ghat-pratighat ka sangharsh dikhaya gya hai.

Bap-Bete dono Kafan kharidne ke liye dukan pr jate hai, kuchh na kharidkr kyi dukano ka chakkar lgte hai aur sham ho jati hai. Kathanak charam seema tk aata hai, jb Bap Bete anayas kisi daivi prerna se ek sharab khane ke samne ja pahunchte hai aur kafan ke paise se tali hui machhaliya, aadi kha kr-pet bhar kr sharab pite hai aur antatah nashe me besudh hokr vahi gir jate hai. Is prakar, is kahani me gramin-jeevan ki rudhigrastata aur bekari ka safal chitran hua hai.

WriterMunshi Premchand
Book LanguageHindi
Book Size179 KB
Total Pages6
CategoryStories

⬇️ Download E-Book For Free

Donate Us

Buy this Book From Amazon

Listen this Book on Audible