Thank you for your visit. Your links will be created in 1 seconds.

Vishnu Puran ( विष्णु पुराण ) Hindi PDF – Shri Ram Sharma Acharya


“Vishnu Puran” attharah Purano me atyant mahattvpurn tatha prachin hai. Yah Shree Prashar Rishi dvara prnit hai. Iske prtipady Bhagwan Vishnu hai, Jo srishti ke aadikaran, Nity, Akshay, Avyay tatha ekrs hai. Is Puran me aakash aadi bhuto ka pariman, samudr, surya aadi ka pariman, prvat, devtadi ki utpatti, mnvntr, kalp-vibhag, sampurn dharm evam devrshi tatha rajrshiyon ke charitr ka vishad varnan hai. Bhagwan Vishnu pradhan hone ke bad bhi yah puran vishnu aur shiv ke abhinnta ka pratipadak hai. Vishnu Puran me mukhy rup se Shree krishan charitr ka varnan hai, yadyapi sankshep me Ram katha ka ullekh bhi prapt hota hai. 

Yadyapi yah puran Vishnu pradhan hai to bhi bhagwan shankar ke liye isme kahi bhi bhav prakat nhi kiya gya. Sampurn granth me Shiv ji ka prasang sambhavtah Shree Krishab-Banasur-Sangram me hi aata hai, vha svayam Bhagwan Krishan Mahadev ji ke sath apni abhinnta prakat krte hue Shreemukh se kehte hai –
 
त्वया यदभयं दत्तं तद्दत्तमखिलं मया।
मत्तोऽविभिन्नमात्मानं द्रुष्टुमर्हसि शंकर
 
Is puran ke do bhag hai, jinhe aap niche diye hue link se download kr skte hai.  
WriterShri Ram Sharma Acharya
Book LanguageHindi
Book Size8 MB
Total Pages497
CategoryReligious - Hinduism

Download Part – 01 
Download Part – 02
Buy Hard Copy from Amazon   
Donate us for maintenance
Listen this book on audible

 

If you're loving our work don't forget to Donate us.

Shesh Purano ke Nam :-