Thank you for your visit. Your links will be created in 1 seconds.

Ramayan Uttarkand ( उत्तरकाण्ड ) Hindi PDF – Goswami Tulasidas


Uttarkand Valmeeki krit Ramayan aur Goswami Tulasidas krit Shree Ramcharitmanas ka ek bhag hai. Uttarkand Ram katha ka upsanhar hai. Seeta, Lakshman aur samast vanar sena ke sath Ram ayodhya vapas pahunche. Ram ka bhavy svagat hua, bharat ke sath sarvjano me aanand vyapt ho gya. Vedo aur shiv ki stuti ke sath Ram ka rajyabhishek hua. Vanro ki vidayi di gyi. Ram ne prja ko updesh diya aur prja ne krtgyta prakt ki. Fir prja ne seeta ke charitr pr aarop lgaya aur Ram dvara prja ke liye Seeta ka tyag kiya gya.

Tyag ke bad Seeta van chli gyi aur Maharshi Valmeeki ke aashram me rhne lgi. Us vaqt vo garbh se thi. Samay aane pr charo bhaiyo ke do do putr huye. Luv-Kush ke bde hone pr vo apni mata ke lie nyay magne Ayodhya aaye prntu prja ki ichchha ke karn Seeta ko fir priksha ke liye bulaya gya aur ve apni pareeksha dekar dharti mata ke sath dharti me sma gyi. Kal ke vachan ke karan Ram ne Lakshman ka tyag kiya aur putro ke bde hone pr un sb me rajy ka bantvara kr apne dham ko chal diye ramrajyek aadarsh bn gya.

Is pustak ka kul size 17.3 MB hai aur kul pristho ki sankhya 739 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

TranslatorChaturvedi Dwarka Prasad Sharma
Book LanguageHindi
Book Size12.9 MB
Total Pages586
CategoryReligious - Hindusim