Thank you for your visit. Your links will be created in 1 seconds.

Vaman Puran ( वामन पुराण ) Hindi PDF – Shri Ram Sharma Acharya


Vaman Puran me mukhy rup se bhagwan Vishnu ke divya mahatmy ka vyakhyan hai. Vishnu ke Vaman avatar se sambandhit yah das hajar shloko ka Puran Shivling puja, Ganesh-skand aakhyan, shiv parvti vivah aadi vishayon se paripurn hai. Isme bhagwan Vaman, nar-narayan, bhagwati durga ke uttam charitr ke sath bhakt Prahlad tatha shri dama aadi bhakto ke bde ramy aakhyan hai. Iske atirikt, Shiv ji ka leela-charitr, jeev moot vha-aakhyan, daksh-yagy-vidhvans, harika kalrup, kamdev-dahan, andhak-vadh, lakshmi-charitr, pretopakhyan, vibhinn vrat, stotr aur ant me vishnu bhakti ke updesho ke sath is puran ka upsanhar hua hai.

Is puran me shloko ki sankhya 10 hajar hai, is puran me purano ke pancho lakshano athva varny-vishyo-sarg, pratisarg, vansh, manvantar aur vanshanucharit ka varnan hai. Sbhi vishyo ka sanupatik ullekh kiya gya hai. Bich-bich me adhyatm-vivechan, kalikarm aur sadachar aadi par bhi prakash dala gya hai.

Is pustak ke 2 bhag hai jise aap niche diye hue link se aasani se download kr skte hai.

WriterShri Ram Sharma Acharya
Book LanguageHindi
Book Size7 MB, 7 MB
Total Pages501, 495
CategoryReligious - Hinduism
 
 
If you're loving our work don't forget to Donate us.

Shesh Purano ke Nam :-