Thank you for your visit. Your links will be created in 1 seconds.

Bade Bhai Sahab (बड़े भाई साहब) Story PDF – Munshi Premchand


Bade Bhai Sahab Munshi Premchand ki prasiddh kahaniyo me se ek hai. Is kahani me Premchand ji ne do bhaiyo ke Psychology ka chitran kiya hai. Dono bhai hostel me rhte hai. Chhota bhai bde bhai se 5 varsh chhota hai. Bda bhai khel kud ki aur dhyan n dekar hr samay pdhta rhta hai. Apne vyavhar aur updesho dvara vah chhote bhai ko anushasan me rkhne ka prayas krta hai. Chhota bhai apne aap ko khel ke maidan me jane se rok nhi pata.

Chhote bhai ka apni kmi ko jante hue bhi, dant khate hue bhi khel nhi chhod pana uske balpan ka swabhav hai. Isliye vah time table bnakr use palan krne ki kosis krta hai, pr kbhi palan nhi kr pata. Chhota bhai apne bde bhai ke dr ke karan mansik rup se ashant rhta hai fir bhi balpan swabhav ke karan khelkud ke lalch se apne aap ko alg nhi rkh pata. Bda bhai apne priksha me fail ho jata hai jbki chhota bhai apni kaksha me first aata hai.

Kahani ke aakhiri me Premchand ji ne bde bhai ke mn ka raj khola hai. Ve apne chhote bhai ko khelkud se dur rkhne ke chkkr me khud khel nhi pate hai. Bde bhai ka bhi mn patang udane ka ka hota tha, Lekin ydi ve svayam sahi raste pr nhi chlenge to chhote bhai ka margdarshan kese krenge? Tbhi ek patang katkr vha aati hai aur bde bhai use uchchhalkr pkd lete hai aur hostel ki trf duad bhagte hai.

Premchand ji hme is kahani ke madhyam se yah dikhane ki koshis krte hai kbhi kbhi hm khud ko achha dikhane ke liye apne ichhcao ko dba dete hai. Jisse hmare vastvik jeevan aur dikhati jeevan ke bich me gatirodh aa jata hai.

Is pustak ka kul size 3 MB hai aur kul pristho ki sankhya 18 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

WriterMunshi Premchand
Book LanguageHindi
Book Size3 MB
Total Pages18
CategoryStories

⬇️ Download E-Book For Free

Donate Us

Buy this Book From Amazon

Listen this Book on Audible

Read More Stories.